Kya Kya Badal Gae Hain Andaz Aadmi Ke, Urdu Ghazal By Nasreen Naqqash

Kya Kya Badal Gae Hain Andaz Aadmi Ke is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nasreen Naqqash. Kya Kya Badal Gae Hain Andaz Aadmi Ke comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kya Kya Badal Gae Hain Andaz Aadmi Ke on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کیا کیا بدل گئے ہیں انداز آدمی کے

نسرین نقاش

کیا کیا بدل گئے ہیں انداز آدمی کے

پیسہ ہی اب خدا ہے پردے میں بندگی کے

آفس میں لیٹ آنا پہچان افسروں کی

اور قصے چھیڑتے ہیں دفتر میں دل لگی کے

رشوت کو حق سمجھ کر بھرتے ہیں جیب اپنی

ہر طرح کر رہے ہیں سامان بہتری کے

ہیں بے ضمیر پھر بھی دعویٰ ہے لیڈری کا

اب ووٹ مانگتے ہیں طالب ہیں ممبری کے

بس نام رہ گیا ہے انصاف اب کہاں ہے

حق اپنا کس سے مانگیں مظلوم اس صدی کے

افسانے نیکیوں کے بے جان ہو رہے ہیں

منصوبے بن رہے ہیں اب چار سو بدی کے

کیا انقلاب آیا بدلی ہوا کچھ ایسی

بیٹے بنے منسٹر عمران مستری کے

واعظ بھی آج کل کے مے خوار ہو گئے ہیں

دیتے ہیں وعظ ہم کو اکثر شراب پی کے

قسمت سے وہ ہمارے حکام بن گئے ہیں

ہوتے تھے روز چرچے جن کی ستم گری کے

بنتی تھی پہلے سبزی گھی کا بگھار دے کر

سبزی سے بن رہے ہیں اب ڈبے روز گھی کے

وہ کون ہے جو بڑھ کر آواز حق اٹھائے

سب سورما بنے ہیں عنوان بزدلی کے

نسرین نقاش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kya Kya Badal Gae Hain Andaz Aadmi Ke

Nasreen Naqqash

kya kya badal gae hain andaz aadmi ke
paisa hi ab KHuda hai parde mein bandagi ke

office mein laTe aana pahchan afsaron ki
aur qisse chheDte hain daftar mein dil-lagi ke

rishwat ko haq samajh kar bharte hain jeb apni
har tarah kar rahe hain saman behtari ke

hain be-zamir phir bhi dawa hai leaderi ka
ab wote mangte hain talib hain membari ke

bas nam rah gaya hai insaf ab kahan hai
haq apna kis se mangen mazlum is sadi ke

afsane nekiyon ke be-jaan ho rahe hain
mansube ban rahe hain ab chaar su badi ke

kya inqalab aaya badli hawa kuchh aisi
beTe bane minister imran mistiri ke

waiz bhi aaj-kal ke mai-KHwar ho gae hain
dete hain waz hum ko aksar sharab pi ke

qismat se wo hamare hukkaam ban gae hain
hote the roz charche jin ki sitamgari ke

banti thi pahle sabzi ghi ka baghaar de kar
sabzi se ban rahe hain ab Dabbe roz ghi ke

wo kaun hai jo baDh kar aawaz-e-haq uThae
sab surma bane hain unwan-e-buzdili ke

(407) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kya Kya Badal Gae Hain Andaz Aadmi Ke written by Nasreen Naqqash at UrduPoint. Kya Kya Badal Gae Hain Andaz Aadmi Ke is one of the masterpieces written by Nasreen Naqqash. You can also find the complete poetry collection of Nasreen Naqqash by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nasreen Naqqash' above.

Kya Kya Badal Gae Hain Andaz Aadmi Ke is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kya Kya Badal Gae Hain Andaz Aadmi Ke, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.