Na Jaane Kitne Fishaar Jhele Wafa Mein Parwaz-e-jaan Se Pahle, Urdu Ghazal By Natiq Azmi

Na Jaane Kitne Fishaar Jhele Wafa Mein Parwaz-e-jaan Se Pahle is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Natiq Azmi. Na Jaane Kitne Fishaar Jhele Wafa Mein Parwaz-e-jaan Se Pahle comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Na Jaane Kitne Fishaar Jhele Wafa Mein Parwaz-e-jaan Se Pahle on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہ جانے کتنے فشار جھیلے وفا میں پرواز جاں سے پہلے

ناطق اعظمی

نہ جانے کتنے فشار جھیلے وفا میں پرواز جاں سے پہلے

خدا کا قائل تھا میں نہ ہمدم عذاب عشق بتاں سے پہلے

سبب یہی تھا کہ چار تنکے مری امیدوں کا گلستاں تھے

ہوئی تھی برق و شرر کی یورش چمن میں کب آشیاں سے پہلے

نہ سوچا سمجھا نہ دیکھا بھالا ہے کون مشتاق کون پیاسا

انہوں نے تقسیم کی ہے مے کی جہاں سے چاہا وہاں سے پہلے

یہ ہم نے سوچا تھا حال اپنا کبھی نہ ان سے بیاں کریں گے

مگر پہنچتے ہی چشم تر نے سنا دیا سب زباں سے پہلے

اداس کلیاں فسردہ غنچے شکستہ شاخیں خموش بلبل

کہاں تھی گلشن میں دل کشی یہ ورود فصل خزاں سے پہلے

ستم کشوں سے کسی نے پوچھا سبب جو تاراجی چمن کا

اڑا کے خاک آشیاں کے بولے اٹھا تھا شعلہ یہاں سے پہلے

یہ شوق منزل کا تھا کرشمہ اسی نے تاب و تواں عطا کی

کہاں تو تھے کارواں کے پیچھے پہنچ گئے کارواں سے پہلے

کہاں کی منزل کہاں کا جادہ یہ سب فریب نظر تھا ناطقؔ

کھلیں جو آنکھیں اسی جگہ تھے قدم اٹھا تھا جہاں سے پہلے

ناطق اعظمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na Jaane Kitne Fishaar Jhele Wafa Mein Parwaz-e-jaan Se Pahle

Natiq Azmi

na jaane kitne fishaar jhele wafa mein parwaz-e-jaan se pahle
KHuda ka qail tha main na hamdam azab-e-ishq-e-butan se pahle

sabab yahi tha ki chaar tinke meri umidon ka gulsitan the
hui thi barq-o-sharar ki yurish chaman mein kab aashiyan se pahle

na socha samjha na dekha bhaala hai kaun mushtaq kaun pyasa
unhon ne taqsim ki hai mai ki jahan se chaha wahan se pahle

ye hum ne socha tha haal apna kabhi na un se bayan karenge
magar pahunchte hi chashm-e-tar ne suna diya sab zaban se pahle

udas kaliyan fasurda ghunche shikasta shaKHen KHamosh bulbul
kahan thi gulshan mein dilkashi ye warud-e-fasl-e-KHizan se pahle

sitam-kashon se kisi ne puchha sabab jo taraji-e-chaman ka
uDa ke KHak aashiyan ke bole uTha tha shoala yahan se pahle

ye shauq-e-manzil ka tha karishma usi ne tab-o-tawan ata ki
kahan to the karwan ke pichhe pahunch gae karwan se pahle

kahan ki manzil kahan ka jada ye sab fareb-e-nazar tha 'natiq'
khulin jo aankhen usi jagah the qadam uTha tha jahan se pahle

(379) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Na Jaane Kitne Fishaar Jhele Wafa Mein Parwaz-e-jaan Se Pahle written by Natiq Azmi at UrduPoint. Na Jaane Kitne Fishaar Jhele Wafa Mein Parwaz-e-jaan Se Pahle is one of the masterpieces written by Natiq Azmi. You can also find the complete poetry collection of Natiq Azmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Natiq Azmi' above.

Na Jaane Kitne Fishaar Jhele Wafa Mein Parwaz-e-jaan Se Pahle is a widely read Urdu Ghazal. If you like Na Jaane Kitne Fishaar Jhele Wafa Mein Parwaz-e-jaan Se Pahle, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.