Mahfil-e-naz Se Main Ho Ke Pareshan UTha, Urdu Ghazal By Natiq Gulavthi

Mahfil-e-naz Se Main Ho Ke Pareshan UTha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Natiq Gulavthi. Mahfil-e-naz Se Main Ho Ke Pareshan UTha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mahfil-e-naz Se Main Ho Ke Pareshan UTha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

محفل ناز سے میں ہو کے پریشان اٹھا

ناطق گلاوٹھی

محفل ناز سے میں ہو کے پریشان اٹھا

بیٹھنے بھی نہیں پایا تھا کہ طوفان اٹھا

ضد نہ کر اے دل ناشاد، کہا مان اٹھا

گھر میں رہنے کا ٹھکانہ نہیں سامان اٹھا

بن روادار یہ اپنوں کی شکایت کیسی

نام اسی کا تو مروت ہے کہ نقصان اٹھا

سب ستارے نہیں اس راہ گزر کے ذرے

دل کے ٹکڑے بھی انہیں میں تو ہیں پہچان، اٹھا

ٹھوکریں کھا کے مصیبت کی سمجھ تو آئی

آدمی بن تو گیا، چونک تو انسان اٹھا

مصلحت وقت کی آج اور ہے اے بادہ فروش

کل کی کل سوچیں گے اس وقت تو دکان اٹھا

ایسے بہتان لگائے کہ خدا یاد آیا

بت نے گھبرا کے کہا مجھ سے کہ قرآن اٹھا

آج ہے کس لئے ایسا ترا انداز حجاب

اجنبی کون ہے محفل میں پکڑ کان اٹھا

دیکھ یہ بار کبھی سر سے اترتا ہی نہیں

زندگی بھر کی مصیبت ہے نہ احسان اٹھا

شعر گوئی نئے انداز کی تجدید خیال

دیکھنا چاہے تو ناطقؔ مرا دیوان اٹھا

ناطق گلاوٹھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mahfil-e-naz Se Main Ho Ke Pareshan UTha

Natiq Gulavthi

mahfil-e-naz se main ho ke pareshan uTha
baiThne bhi nahin paya tha ki tufan uTha

zid na kar ai dil-e-nashad, kaha man uTha
ghar mein rahne ka Thikana nahin saman uTha

ban rawadar ye apnon ki shikayat kaisi
nam isi ka to murawwat hai ki nuqsan uTha

sab sitare nahin is rahguzar ke zarre
dil ke TukDe bhi inhin mein to hain pahchan, uTha

Thokaren kha ke musibat ki samajh to aai
aadmi ban to gaya, chaunk to insan uTha

maslahat waqt ki aaj aur hai ai baada-farosh
kal ki kal sochenge is waqt to dukkan uTha

aise bohtan lagae ki KHuda yaad aaya
but ne ghabra ke kaha mujh se ki quran uTha

aaj hai kis liye aisa tera andaz-e-hijab
ajnabi kaun hai mahfil mein pakaD kan uTha

dekh ye bar kabhi sar se utarta hi nahin
zindagi bhar ki musibat hai na ehsan uTha

sher-goi nae andaz ki tajdid-e-KHayal
dekhna chahe to 'natiq' mera diwan uTha

(396) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mahfil-e-naz Se Main Ho Ke Pareshan UTha written by Natiq Gulavthi at UrduPoint. Mahfil-e-naz Se Main Ho Ke Pareshan UTha is one of the masterpieces written by Natiq Gulavthi. You can also find the complete poetry collection of Natiq Gulavthi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Natiq Gulavthi' above.

Mahfil-e-naz Se Main Ho Ke Pareshan UTha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mahfil-e-naz Se Main Ho Ke Pareshan UTha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.