Sab Kuchh Sar-e-bazar Jahan ChhoD Gaya Hai, Urdu Ghazal By Naushad Ali

Sab Kuchh Sar-e-bazar Jahan ChhoD Gaya Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naushad Ali. Sab Kuchh Sar-e-bazar Jahan ChhoD Gaya Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sab Kuchh Sar-e-bazar Jahan ChhoD Gaya Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سب کچھ سر بازار جہاں چھوڑ گیا ہے

نوشاد علی

سب کچھ سر بازار جہاں چھوڑ گیا ہے

یہ کون کھلی اپنی دکاں چھوڑ گیا ہے

جاتے ہی کسی کے نہ وہ نغمہ نہ اجالا

خاموش چراغوں کا دھواں چھوڑ گیا ہے

وحشی تو گیا لے کے وہ زنجیر و گریباں

اک نوحہ کناں خالی مکاں چھوڑ گیا ہے

سو قافلے اس راہ سے آئے بھی گئے بھی

اب تک میں وہیں ہوں وہ جہاں چھوڑ گیا ہے

بھیجا ہے یہ کس نے ورق سادہ مرے نام

کیا کیا گلے بے لفظ و بیاں چھوڑ گیا ہے

تا دور جہاں اب سے سر راہ چراغاں

وہ نقش قدم اپنے وہاں چھوڑ گیا ہے

اٹھ کر تری محفل سے گیا ہے جو مغنی

نغمات کے پردے میں فغاں چھوڑ گیا ہے

بے سمت سا اک آج کہ ماضی ہے نہ فردا

یہ وقت کا سیلاب کہاں چھوڑ گیا ہے

پہلو میں کہاں دل جو سنبھالے کوئی نوشادؔ

اک داغ کی صورت میں نشاں چھوڑ گیا ہے

نوشاد علی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sab Kuchh Sar-e-bazar Jahan ChhoD Gaya Hai

Naushad Ali

sab kuchh sar-e-bazar jahan chhoD gaya hai
ye kaun khuli apni dukan chhoD gaya hai

jate hi kisi ke na wo naghma na ujala
KHamosh charaghon ka dhuan chhoD gaya hai

wahshi to gaya le ke wo zanjir-o-gareban
ek nauha-kunan KHali makan chhoD gaya hai

sau qafile is rah se aae bhi gae bhi
ab tak main wahin hun wo jahan chhoD gaya hai

bheja hai ye kis ne waraq-e-sada mere nam
kya kya gile be-lafz-o-bayan chhoD gaya hai

ta-dur jahan ab se sar-e-rah charaghan
wo naqsh-e-qadam apne wahan chhoD gaya hai

uTh kar teri mahfil se gaya hai jo mughanni
naghmat ke parde mein fughan chhoD gaya hai

be-samt sa ek aaj ki mazi hai na farda
ye waqt ka sailab kahan chhoD gaya hai

pahlu mein kahan dil jo sambhaale koi 'naushad'
ek dagh ki surat mein nishan chhoD gaya hai

(583) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sab Kuchh Sar-e-bazar Jahan ChhoD Gaya Hai written by Naushad Ali at UrduPoint. Sab Kuchh Sar-e-bazar Jahan ChhoD Gaya Hai is one of the masterpieces written by Naushad Ali. You can also find the complete poetry collection of Naushad Ali by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naushad Ali' above.

Sab Kuchh Sar-e-bazar Jahan ChhoD Gaya Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sab Kuchh Sar-e-bazar Jahan ChhoD Gaya Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.