Karam Kuchh Is Tarah Se Katib-e-taqdir Karta Hai, Urdu Ghazal By Naushad Ashhar

Karam Kuchh Is Tarah Se Katib-e-taqdir Karta Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naushad Ashhar. Karam Kuchh Is Tarah Se Katib-e-taqdir Karta Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Karam Kuchh Is Tarah Se Katib-e-taqdir Karta Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کرم کچھ اس طرح سے کاتب تقدیر کرتا ہے

نوشاد اشہر

کرم کچھ اس طرح سے کاتب تقدیر کرتا ہے

سزا دینے میں بندوں کو سدا تاخیر کرتا ہے

عجب دیوانگئ شوق سے تدبیر کرتا ہے

کوئی تو ہے مسلسل جو مجھے تعمیر کرتا ہے

پہنچتی ہے کہاں آواز ان اونچے مکانوں میں

کوئی محرومیوں کو نالۂ شبگیر کرتا ہے

مجھے گمنام رہنے ہی نہیں دیتا کسی صورت

وہ چارہ گر مرے زخموں کی یوں تشہیر کرتا ہے

امیر وقت کس منزل میں پہنچا ہے جنوں تیرا

ندائے صبح نو کو حلقۂ زنجیر کرتا ہے

لگا دو بندشیں شہر دل آرا کے مکینوں پر

وہی بس خواب دیکھے خواب جو تعبیر کرتا ہے

خبر بھی ہے تجھے اے حسن بے پردہ سر محفل

تری صورت کو آنکھوں میں کوئی تصویر کرتا ہے

خطا کرتا ہوں جیسے میں کوئی لگتا ہے یوں مجھ کو

تجھے جب یاد رکھنے میں یہ دل تقصیر کرتا ہے

سنو اے حاکم دوراں مورخ وقت ہے ایسا

وہ جو کچھ دیکھتا ہے بس وہی تحریر کرتا ہے

دلوں پر حکمرانی یوں ہی اشہرؔ کی نہیں قائم

محبت کی سبھی کے نام وہ جاگیر کرتا ہے

نوشاد اشہر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Karam Kuchh Is Tarah Se Katib-e-taqdir Karta Hai

Naushad Ashhar

karam kuchh is tarah se katib-e-taqdir karta hai
saza dene mein bandon ko sada taKHir karta hai

ajab diwangi-e-shauq se tadbir karta hai
koi to hai musalsal jo mujhe tamir karta hai

pahunchti hai kahan aawaz un unche makanon mein
koi mahrumiyon ko nala-e-shabgir karta hai

mujhe gumnam rahne hi nahin deta kisi surat
wo chaaragar mere zaKHmon ki yun tashhir karta hai

amir-e-waqt kis manzil mein pahuncha hai junun tera
nida-e-subh-e-nau ko halqa-e-zanjir karta hai

laga do bandishen shahr-e-dil-ara ke makinon par
wahi bas KHwab dekhe KHwab jo tabir karta hai

KHabar bhi hai tujhe ai husn-e-be-parda sar-e-mahfil
teri surat ko aankhon mein koi taswir karta hai

KHata karta hun jaise main koi lagta hai yun mujh ko
tujhe jab yaad rakhne mein ye dil taqsir karta hai

suno ai hakim-e-dauran moarriKH waqt hai aisa
wo jo kuchh dekhta hai bas wahi tahrir karta hai

dilon par hukmrani yunhi 'ashhar' ki nahin qaem
mohabbat ki sabhi ke nam wo jagir karta hai

(566) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Karam Kuchh Is Tarah Se Katib-e-taqdir Karta Hai written by Naushad Ashhar at UrduPoint. Karam Kuchh Is Tarah Se Katib-e-taqdir Karta Hai is one of the masterpieces written by Naushad Ashhar. You can also find the complete poetry collection of Naushad Ashhar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naushad Ashhar' above.

Karam Kuchh Is Tarah Se Katib-e-taqdir Karta Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Karam Kuchh Is Tarah Se Katib-e-taqdir Karta Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.