Kisi Ki Aarzuen Ab Bhi Hum Mein Raqs Karti Hain, Urdu Ghazal By Naveed Zafar Kayani

Kisi Ki Aarzuen Ab Bhi Hum Mein Raqs Karti Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naveed Zafar Kayani. Kisi Ki Aarzuen Ab Bhi Hum Mein Raqs Karti Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kisi Ki Aarzuen Ab Bhi Hum Mein Raqs Karti Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کسی کی آرزوئیں اب بھی ہم میں رقص کرتی ہیں

نوید ظفر کیانی

کسی کی آرزوئیں اب بھی ہم میں رقص کرتی ہیں

سنہری مچھلیاں اکویریم میں رقص کرتی ہیں

کوئی طوفاں دبا پاتا نہیں دل کی صداؤں کو

یہ جل پریاں تو آب یم بہ یم میں رقص کرتی ہیں

ہماری الفتوں کو آپ نے ہلکا نہیں لینا

بہ رنگ ہست بھی خواب عدم میں رقص کرتی ہیں

یہ پیغامات پہنچاتی ہیں تم تک میرے مولا کے

اگر چڑیاں تمہارے آشرم میں رقص کرتی ہیں

میں ان پر چل کے بھی کیوں منزلوں کا ہو نہیں پایا

جو راہیں زندگی کے پیچ و خم میں رقص کرتی ہیں

تری یادیں تو جیسے بن گئی ہیں دھڑکنیں پیارے

یہ رقاصائیں بھی دل کے حرم میں رقص کرتی ہیں

نیام مصلحت میں رہ کے جن کو زنگ لگتا ہے

وہی تلواریں لہراتے علم میں رقص کرتی ہیں

امیدیں سینۂ خنجر پہ چل کر بھی نہیں رکتیں

یہ حسرت بن کے بھی جیسے ارم میں رقص کرتی ہیں

تمہارے ہجر کی غزلیں تمہارے وصل کی نظمیں

دلوں میں تھرتھراتی ہیں قلم میں رقص کرتی ہیں

نوید ظفر کیانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kisi Ki Aarzuen Ab Bhi Hum Mein Raqs Karti Hain

Naveed Zafar Kayani

kisi ki aarzuen ab bhi hum mein raqs karti hain
sunahri machhliyan aquarium mein raqs karti hain

koi tufan daba pata nahin dil ki sadaon ko
ye jal-pariyan to aab-e-yam-ba-yam mein raqs karti hain

hamari ulfaton ko aap ne halka nahin lena
ba rang-e-hast bhi KHwab-e-adam mein raqs karti hain

ye paighamat pahunchati hain tum tak mere maula ke
agar chiDiyan tumhaare aashram mein raqs karti hain

main un par chal ke bhi kyon manzilon ka ho nahin paya
jo rahen zindagi ke pech-o-KHam mein raqs karti hain

teri yaaden to jaise ban gai hain dhaDkanen pyare
ye raqqasaen bhi dil ke haram mein raqs karti hain

niyam-e-maslahat mein rah ke jin ko zang lagta hai
wahi talwaren lahraate alam mein raqs karti hain

umiden sina-e-KHanjar pe chal kar bhi nahin ruktin
ye hasrat ban ke bhi jaise iram mein raqs karti hain

tumhaare hijr ki ghazlen tumhaare wasl ki nazmen
dilon mein thartharaati hain qalam mein raqs karti hain

(472) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kisi Ki Aarzuen Ab Bhi Hum Mein Raqs Karti Hain written by Naveed Zafar Kayani at UrduPoint. Kisi Ki Aarzuen Ab Bhi Hum Mein Raqs Karti Hain is one of the masterpieces written by Naveed Zafar Kayani. You can also find the complete poetry collection of Naveed Zafar Kayani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naveed Zafar Kayani' above.

Kisi Ki Aarzuen Ab Bhi Hum Mein Raqs Karti Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kisi Ki Aarzuen Ab Bhi Hum Mein Raqs Karti Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.