Mujh Mein Har Tufan Hai Aks-e-nazar Mein Kuchh Nahin, Urdu Ghazal By Naveed Zafar Kayani

Mujh Mein Har Tufan Hai Aks-e-nazar Mein Kuchh Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naveed Zafar Kayani. Mujh Mein Har Tufan Hai Aks-e-nazar Mein Kuchh Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mujh Mein Har Tufan Hai Aks-e-nazar Mein Kuchh Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مجھ میں ہر طوفان ہے عکس نظر میں کچھ نہیں

نوید ظفر کیانی

مجھ میں ہر طوفان ہے عکس نظر میں کچھ نہیں

دل کی سوزش دیکھیے تو چشم تر میں کچھ نہیں

رات کا سارا سمندر پار کر آئی مگر

آگہی کے پاس تائید سحر میں کچھ نہیں

میں بر آمد کرتا آیا ہوں زمین و آسماں

آج کیا ہے کیسے زنبیل ہنر میں کچھ نہیں

جس نے کی ہیں عمر بھر بس ذات کی غواصیاں

وہ تو پھر سمجھے گا کہ رنگ دگر میں کچھ نہیں

زیست کا پینڈا ہوا یا دو قدم رستہ ہوا

نیند میں چلتے رہے ہو تو سفر میں کچھ نہیں

چپ کی چھاؤں تھام کر جلتا رہے سورج تلے

جب پرندے ہی نہیں تو پھر شجر میں کچھ نہیں

لوٹ جاؤ زندگانی کے حقائق کی طرف

ان حکایات طویل و مختصر میں کچھ نہیں

دیکھ لو آخر یہی لائی مجھے تا بہ فلک

لوگ کہتے تھے کہ اب اس رہگزر میں کچھ نہیں

جیسے دریا ہو کسی گہرے سمندر میں ظفرؔ

آج اس منزل پہ پہنچا ہوں جدھر میں کچھ نہیں

نوید ظفر کیانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mujh Mein Har Tufan Hai Aks-e-nazar Mein Kuchh Nahin

Naveed Zafar Kayani

mujh mein har tufan hai aks-e-nazar mein kuchh nahin
dil ki sozish dekhiye to chashm-e-tar mein kuchh nahin

raat ka sara samundar par kar aai magar
aagahi ke pas taid-e-sahar mein kuchh nahin

main baramad karta aaya hun zamin-o-asman
aaj kya hai kaise zambil-e-hunar mein kuchh nahin

jis ne ki hain umr bhar bas zat ki ghawwasiyan
wo to phir samjhega ki rang-e-digar mein kuchh nahin

zist ka penDa hua ya do qadam rasta hua
nind mein chalte rahe ho to safar mein kuchh nahin

chup ki chhanw tham kar jalta rahe suraj tale
jab parinde hi nahin to phir shajar mein kuchh nahin

lauT jao zindagani ke haqaeq ki taraf
in hikayat-e-tawil-o-muKHtasar mein kuchh nahin

dekh lo aaKHir yahi lai mujhe ta-ba-falak
log kahte the ki ab is rah-guzar mein kuchh nahin

jaise dariya ho kisi gahre samundar mein 'zafar'
aaj us manzil pe pahuncha hun jidhar main kuchh nahin

(517) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mujh Mein Har Tufan Hai Aks-e-nazar Mein Kuchh Nahin written by Naveed Zafar Kayani at UrduPoint. Mujh Mein Har Tufan Hai Aks-e-nazar Mein Kuchh Nahin is one of the masterpieces written by Naveed Zafar Kayani. You can also find the complete poetry collection of Naveed Zafar Kayani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naveed Zafar Kayani' above.

Mujh Mein Har Tufan Hai Aks-e-nazar Mein Kuchh Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mujh Mein Har Tufan Hai Aks-e-nazar Mein Kuchh Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.