Yun Hi Galiyon Mein Muqaddar Dar-ba-dar Mera Bhi Hai, Urdu Ghazal By Navneet Sharma

Yun Hi Galiyon Mein Muqaddar Dar-ba-dar Mera Bhi Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Navneet Sharma. Yun Hi Galiyon Mein Muqaddar Dar-ba-dar Mera Bhi Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Yun Hi Galiyon Mein Muqaddar Dar-ba-dar Mera Bhi Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یوں ہی گلیوں میں مقدر در بدر میرا بھی ہے

نونیت شرما

یوں ہی گلیوں میں مقدر در بدر میرا بھی ہے

کیوں نہیں سنتا مری تو کچھ اگر میرا بھی ہے

قاتلوں کو اب سزا ہو یا نہ ہو لیکن کسی

حاشیے پر اک بیان مختصر میرا بھی ہے

میں بھی جوجھا ہوں ہوا سے اس کبوتر کی طرح

دیکھ وہ آندھی میں اڑتا ایک پر میرا بھی ہے

پاؤں تیرے راستے تیرے سفر تیرا مگر

کیوں پسینے میں بدن پھر تر بہ تر میرا بھی ہے

درد کی وادی میں آہوں کا محلہ ہے جہاں

بس وہیں پہلی سڑک پر ایک گھر میرا بھی ہے

یوں نہ ہو میں بیٹھ جاؤں تیری پیچل کے بغیر

دھوپ میں صحرا کی اکتایا سفر میرا بھی ہے

کیسا پاگل پن کہ اس کے شہر میں دینی ہے جان

اب کہاں ہوں میں اکیلا ہم سفر میرا بھی ہے

اک اچٹتی سی نظر خالی محبت کی نظر

آسماں اک چاہئے مجھ کو کہ سر میرا بھی ہے

ساتھ ہوں گے ہم تو سچ میں پھول کھلتے جائیں گے

آپ کا ہی بس نہیں تنہا سفر میرا بھی ہے

خود سے بھی ملتا نہیں میں تجھ گلے ملنے کے بعد

ساتھ رکھنے میں تری خوشبو ہنر میرا بھی ہے

جب بھی کچھ میں نے کہا کیوں آپ تک پہنچا نہیں

آپ کا قاصد یقیناً نامہ بر میرا بھی ہے

نونیت شرما

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Yun Hi Galiyon Mein Muqaddar Dar-ba-dar Mera Bhi Hai

Navneet Sharma

yun hi galiyon mein muqaddar dar-ba-dar mera bhi hai
kyun nahin sunta meri tu kuchh agar mera bhi hai

qatilon ko ab saza ho ya na ho lekin kisi
hashiye par ek bayan-e-muKHtasar mera bhi hai

main bhi jujha hun hawa se us kabutar ki tarah
dekh wo aandhi mein uDta ek par mera bhi hai

panw tere raste tere safar tera magar
kyun pasine mein badan phir tar-ba-tar mera bhi hai

dard ki wadi mein aahon ka mohalla hai jahan
bas wahin pahli saDak par ek ghar mera bhi hai

yun na ho main baiTh jaun teri paichal ke baghair
dhup mein sahra ki uktaya safar mera bhi hai

kaisa pagal-pan ki us ke shahr mein deni hai jaan
ab kahan hun main akela ham-safar mera bhi hai

ek uchaTti si nazar KHali mohabbat ki nazar
aasman ek chahiye mujh ko ki sar mera bhi hai

sath honge hum to sach mein phul khilte jaenge
aap ka hi bas nahin tanha safar mera bhi hai

KHud se bhi milta nahin main tujh gale milne ke baad
sath rakhne mein teri KHushbu hunar mera bhi hai

jab bhi kuchh main ne kaha kyun aap tak pahuncha nahin
aap ka qasid yaqinan nama-bar mera bhi hai

(562) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Yun Hi Galiyon Mein Muqaddar Dar-ba-dar Mera Bhi Hai written by Navneet Sharma at UrduPoint. Yun Hi Galiyon Mein Muqaddar Dar-ba-dar Mera Bhi Hai is one of the masterpieces written by Navneet Sharma. You can also find the complete poetry collection of Navneet Sharma by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Navneet Sharma' above.

Yun Hi Galiyon Mein Muqaddar Dar-ba-dar Mera Bhi Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Yun Hi Galiyon Mein Muqaddar Dar-ba-dar Mera Bhi Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.