Aql Ek Mauj-e-rawan Mere KHayalat Mein Hai, Urdu Ghazal By Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi Badayuni

Aql Ek Mauj-e-rawan Mere KHayalat Mein Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi Badayuni. Aql Ek Mauj-e-rawan Mere KHayalat Mein Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aql Ek Mauj-e-rawan Mere KHayalat Mein Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عقل اک موج رواں میرے خیالات میں ہے

نواب سید حکیم احمد نقوی بدایونی

عقل اک موج رواں میرے خیالات میں ہے

حاصل ہوش و خرد میری خرافات میں ہے

لطف جو ان کے اشارات و کنایات میں ہے

وہ کسی حرف و حکایت نہ کسی بات میں ہے

ماجرائے غم دل آج کا قلعہ تو نہیں

یہ فسانہ مری دیرینہ روایات میں ہے

آتش گل ہے مرے داغ جگر کی تنویر

خوشنوائیٔ عنادل مرے نغمات میں ہے

خدمت دوست میں کل نذر کیا تھا دل کو

تحفۂ جان حزیں آج کی سوغات میں ہے

اپنے پہلو میں محبت کو جگہ دے اے دوست

خوبیٔ ہر دو جہاں حسن مساوات میں ہے

پائے ساقی پہ گرا سجدے میں شاید واعظ

اک قیامت سی بپا آج خرابات میں ہے

اب کہاں اپنی وفاؤں پہ یقیں ہے مجھ کو

کہ یقیں بھی تو مرا گم ترے شبہات میں ہے

روئے داد قمر و زہرہ کہہ محبوب مجھے

حسن آفاق نمایاں جو صنمیات میں ہے

ہو جو فرصت تو کبھی ہم سے بھی باتیں کر لو

زندگانی کا مزہ حرف و حکایات میں ہے

پائے وہ دن کہ ضیا‌ پاش رخ روشن تھا

اب کہاں جلوۂ مہتاب مری بات میں ہے

یاد آ جاتی ہے بے مہریٔ احباب ضرور

ورنہ کیا فائدہ غیروں سے ملاقات میں ہے

دل تڑپتا ہے شب و روز غم فرقت میں

اب کسی دن میں مزہ ہے نہ کسی رات میں ہے

چشم ساقی کی طرف دیکھ رہے ہیں مے خوار

یہ کسی تاک میں ہے وہ بھی کسی گھات میں ہے

نواب سید حکیم احمد نقوی بدایونی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aql Ek Mauj-e-rawan Mere KHayalat Mein Hai

Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi Badayuni

aql ek mauj-e-rawan mere KHayalat mein hai
hasil-e-hosh-o-KHirad meri KHurafat mein hai

lutf jo un ke ishaaraat-o-kinayat mein hai
wo kisi harf-o-hikayat na kisi baat mein hai

majra-e-gham-e-dil aaj ka qila to nahin
ye fasana meri derina riwayat mein hai

aatish-e-gul hai mere dagh-e-jigar ki tanwir
KHush-nawai-e-anadil mere naghmat mein hai

KHidmat-e-dost mein kal nazr kya tha dil ko
tohfa-e-jaan-e-hazin aaj ki saughat mein hai

apne pahlu mein mohabbat ko jagah de ai dost
KHubi-e-har-do-jahan husn-e-musawat mein hai

pa-e-saqi pe gira sajde mein shayad waiz
ek qayamat si bapa aaj KHarabaat mein hai

ab kahan apni wafaon pe yaqin hai mujh ko
ki yaqin bhi to mera gum tere shubhat mein hai

ru-e-dad-e-qamar-o-zohra keh mahbub mujhe
husn-e-afaq numayan jo sanamyat mein hai

ho jo fursat to kabhi hum se bhi baaten kar lo
zindagani ka maza harf-o-hikayat mein hai

pae wo din ki ziya-pash ruKH-e-raushan tha
ab kahan jalwa-e-mahtab meri baat mein hai

yaad aa jati hai be-mehri-e-ahbab zarur
warna kya faeda ghairon se mulaqat mein hai

dil taDapta hai shab-o-roz gham-e-furqat mein
ab kisi din mein maza hai na kisi raat mein hai

chashm-e-saqi ki taraf dekh rahe hain mai-KHwar
ye kisi tak mein hai wo bhi kisi ghat mein hai

(579) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

More Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi Badayuni Poetry

کبھی میرا کبھی تیرا رہا ہے

Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi badayuni - نواب سید حکیم احمد نقوی بدایونی

Kabhi Mera Kabhi Tera Raha Hai

Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi Badayuni Urdu Poetry

نہ پوچھو ساغر و مے اور مے خانوں پہ کیا گزری

Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi badayuni - نواب سید حکیم احمد نقوی بدایونی

Na Puchho Saghar-o-mai Aur Mai-khanon Pe Kya Guzri

Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi Badayuni Urdu Poetry

رکھتا ہوں دل کو میں غم کون و مکاں سے دور

Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi badayuni - نواب سید حکیم احمد نقوی بدایونی

Rakhta Hun Dil Ko Main Gham-e-kaun-o-makan Se Dur

Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi Badayuni Urdu Poetry

تمہارے عارض و لب کی مثال بن کے رہے

Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi badayuni - نواب سید حکیم احمد نقوی بدایونی

Tumhaare Aariz-o-lab Ki Misal Ban Ke Rahe

Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi Badayuni Urdu Poetry

عقل اک موج رواں میرے خیالات میں ہے

Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi badayuni - نواب سید حکیم احمد نقوی بدایونی

Aql Ek Mauj-e-rawan Mere Khayalat Mein Hai

Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi Badayuni Urdu Poetry

خوگر عیش و مسرت دل خود کام نہیں

Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi badayuni - نواب سید حکیم احمد نقوی بدایونی

Khugar-e-aish-o-masarrat Dil-e-khud-kaam Nahin

Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi Badayuni Urdu Poetry

دل شوریدہ سر ہے اور میں ہوں

Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi badayuni - نواب سید حکیم احمد نقوی بدایونی

Dil-e-shorida-sar Hai Aur Main Hun

Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi Badayuni Urdu Poetry

غم عشق میں نہیں جو کسی نام تک نہ پہنچے

Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi badayuni - نواب سید حکیم احمد نقوی بدایونی

Gham-e-ishq Mein Nahin Jo Kisi Nam Tak Na Pahunche

Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi Badayuni Urdu Poetry

You can read Aql Ek Mauj-e-rawan Mere KHayalat Mein Hai written by Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi Badayuni at UrduPoint. Aql Ek Mauj-e-rawan Mere KHayalat Mein Hai is one of the masterpieces written by Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi Badayuni. You can also find the complete poetry collection of Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi Badayuni by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi Badayuni' above.

Aql Ek Mauj-e-rawan Mere KHayalat Mein Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aql Ek Mauj-e-rawan Mere KHayalat Mein Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.