Guzare Hijr Mein Barson Hi Wasl-e-yar Ke Baad, Urdu Ghazal By Nawab Umrao Bahadur Diler

Guzare Hijr Mein Barson Hi Wasl-e-yar Ke Baad is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nawab Umrao Bahadur Diler. Guzare Hijr Mein Barson Hi Wasl-e-yar Ke Baad comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Guzare Hijr Mein Barson Hi Wasl-e-yar Ke Baad on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گزارے ہجر میں برسوں ہی وصل یار کے بعد

نواب امراوبہادر دلیر

گزارے ہجر میں برسوں ہی وصل یار کے بعد

اٹھایا جبر بہت ہم نے اختیار کے بعد

نہ دشمنوں کے لئے تھی زمین کوچۂ دوست

بنی نہ پھر کوئی تربت مرے مزار کے بعد

کس آسرے پہ گزاروں زمانۂ فرقت

کہ ناامید ہوا ہوں اک انتظار کے بعد

خزاں کے بعد الٰہی بہار پھر دیکھیں

خزاں تو دیکھ چکے موسم بہار کے بعد

مرے شباب کی یاد آ رہی ہے پیری میں

کہ قدر نشہ کی ہوتی ہے کچھ خمار کے بعد

ملا جو قیس سا ہم رنگ دشت وحشت میں

ہوا سکون طبیعت کو انتشار کے بعد

وہ مشق تیر تھی ان کی ہمارے ہی دل تک

ملا نہ پھر کوئی نخچیر اس شکار کے بعد

پس فنا ہے تباہی کی ابتدا مجھ سے

بہت سی آندھیاں اٹھیں گی اس غبار کے بعد

ہم ان کے بس میں ہیں قابو میں تھے جو اپنی دلیرؔ

یہ بے بسی نہ کسی کو ہو اختیار کے بعد

نواب امراوبہادر دلیر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Guzare Hijr Mein Barson Hi Wasl-e-yar Ke Baad

Nawab Umrao Bahadur Diler

guzare hijr mein barson hi wasl-e-yar ke baad
uThaya jabr bahut hum ne iKHtiyar ke baad

na dushmanon ke liye thi zamin-e-kucha-e-dost
bani na phir koi turbat mere mazar ke baad

kis aasare pe guzarun zamana-e-furqat
ki na-umid hua hun ek intizar ke baad

KHizan ke baad ilahi bahaar phir dekhen
KHizan to dekh chuke mausam-e-bahaar ke baad

mere shabab ki yaad aa rahi hai piri mein
ki qadr nashsha ki hoti hai kuchh KHumar ke baad

mila jo qais sa ham-rang dasht-e-wahshat mein
hua sukun tabiat ko intishaar ke baad

wo mashq-e-tir thi un ki hamare hi dil tak
mila na phir koi naKHchir us shikar ke baad

pas-e-fana hai tabahi ki ibtida mujh se
bahut si aandhiyan uTThengi is ghubar ke baad

hum un ke bas mein hain qabu mein the jo apni 'diler'
ye bebasi na kisi ko ho iKHtiyar ke baad

(432) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Guzare Hijr Mein Barson Hi Wasl-e-yar Ke Baad written by Nawab Umrao Bahadur Diler at UrduPoint. Guzare Hijr Mein Barson Hi Wasl-e-yar Ke Baad is one of the masterpieces written by Nawab Umrao Bahadur Diler. You can also find the complete poetry collection of Nawab Umrao Bahadur Diler by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nawab Umrao Bahadur Diler' above.

Guzare Hijr Mein Barson Hi Wasl-e-yar Ke Baad is a widely read Urdu Ghazal. If you like Guzare Hijr Mein Barson Hi Wasl-e-yar Ke Baad, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.