Sahra Sahra ChiKHta Phirta Hun Main, Urdu Ghazal By Nawaz Deobandi

Sahra Sahra ChiKHta Phirta Hun Main is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nawaz Deobandi. Sahra Sahra ChiKHta Phirta Hun Main comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sahra Sahra ChiKHta Phirta Hun Main on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

صحرا صحرا چیختا پھرتا ہوں میں

نواز دیوبندی

صحرا صحرا چیختا پھرتا ہوں میں

ہو کے دریا کس قدر پیاسا ہوں میں

جان کر گونگا ہوں اور بہرا ہوں میں

اس لئے اس شہر میں زندہ ہوں میں

اس کو منزل جانتے ہیں راہبر

اتفاقا جس جگہ ٹھہرا ہوں میں

قید ہوں میں وسعتوں کے باوجود

وہ مرا ساحل ہے اور دریا ہوں میں

اس نے رسماً جب بھی پوچھا میرا حال

میں نے طنزاً کہہ دیا اچھا ہوں میں

وہ شجر تنہا شجر چوپال کا

اس شجر کا آخری پتا ہوں میں

نواز دیوبندی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sahra Sahra ChiKHta Phirta Hun Main

Nawaz Deobandi

sahra sahra chiKHta phirta hun main
ho ke dariya kis qadar pyasa hun main

jaan kar gunga hun aur bahra hun main
is liye is shahr mein zinda hun main

is ko manzil jaante hain rahbar
itifaqan jis jagah Thahra hun main

qaid hun main wusaton ke bawajud
wo mera sahil hai aur dariya hun main

us ne rasman jab bhi puchha mera haal
main ne tanzan kah diya achchha hun main

wo shajar tanha shajar chaupal ka
us shajar ka aaKHiri patta hun main

(619) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sahra Sahra ChiKHta Phirta Hun Main written by Nawaz Deobandi at UrduPoint. Sahra Sahra ChiKHta Phirta Hun Main is one of the masterpieces written by Nawaz Deobandi. You can also find the complete poetry collection of Nawaz Deobandi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nawaz Deobandi' above.

Sahra Sahra ChiKHta Phirta Hun Main is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sahra Sahra ChiKHta Phirta Hun Main, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.