Abhi Na Kijiye Zahmat Naqab UThane Ki, Urdu Ghazal By Nayyar Damohi

Abhi Na Kijiye Zahmat Naqab UThane Ki is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nayyar Damohi. Abhi Na Kijiye Zahmat Naqab UThane Ki comes under the Love category of Urdu Ghazal. You can read Abhi Na Kijiye Zahmat Naqab UThane Ki on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ابھی نہ کیجئے زحمت نقاب اٹھانے کی

نیر دموہی

ابھی نہ کیجئے زحمت نقاب اٹھانے کی

نظر میں تاب نہیں ہے نظر ملانے کی

ہمارے ہاتھ میں بس اک تمہارا دامن ہے

تمہارے ہاتھ میں تقدیر ہے زمانے کی

ہمارے پہلے تمہیں کون سر جھکاتا تھا

ہمیں نے رسم نکالی ہے سر جھکانے کی

ہجوم برق بھی آ کر قریب لوٹ گئی

کمال کر گئی تقدیر آشیانے کی

چمن میں اپنے نشیمن کی زندگی کتنی

رکھی ہے برق پہ بنیاد آشیانے کی

نگاہ ناز وہاں آسرا دیا تو نے

جہاں امید تھی کشتی کے ڈوب جانے کی

چمک ہی جاؤ گے دنیا میں ایک دن نیرؔ

غلامی کرتے رہو ان کے آستانے کی

نیر دموہی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Abhi Na Kijiye Zahmat Naqab UThane Ki

Nayyar Damohi

abhi na kijiye zahmat naqab uThane ki
nazar mein tab nahin hai nazar milane ki

hamare hath mein bas ek tumhaara daman hai
tumhaare hath mein taqdir hai zamane ki

hamare pahle tumhein kaun sar jhukata tha
hamin ne rasm nikali hai sar jhukane ki

hujum-e-barq bhi aa kar qarib lauT gai
kamal kar gai taqdir aashiyane ki

chaman mein apne nasheman ki zindagi kitni
rakhi hai barq pe buniyaad aashiyane ki

nigah-e-naz wahan aasra diya tu ne
jahan umid thi kashti ke Dub jaane ki

chamak hi jaoge duniya mein ek din 'nayyar'
ghulami karte raho un ke aastane ki

(544) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Abhi Na Kijiye Zahmat Naqab UThane Ki written by Nayyar Damohi at UrduPoint. Abhi Na Kijiye Zahmat Naqab UThane Ki is one of the masterpieces written by Nayyar Damohi. You can also find the complete poetry collection of Nayyar Damohi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nayyar Damohi' above.

Abhi Na Kijiye Zahmat Naqab UThane Ki is a widely read Urdu Ghazal. If you like Abhi Na Kijiye Zahmat Naqab UThane Ki, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.