Ho Wo Amir-e-shahr Ki Bhuka Faqir Ho, Urdu Ghazal By Nayyar Qureshi Gangohi

Ho Wo Amir-e-shahr Ki Bhuka Faqir Ho is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nayyar Qureshi Gangohi. Ho Wo Amir-e-shahr Ki Bhuka Faqir Ho comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ho Wo Amir-e-shahr Ki Bhuka Faqir Ho on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہو وہ امیر شہر کہ بھوکا فقیر ہو

نیر قریشی گنگوہی

ہو وہ امیر شہر کہ بھوکا فقیر ہو

خوش بخت اسے کہیں گے جو روشن ضمیر ہو

دولت سے کب خرید سکے گا اسے کوئی

غربت میں بھی جو اپنی انا کا اسیر ہو

کیوں کر وہ کر سکے گا بھلا اپنا سر بلند

ہر خاص و عام کی جو نظر میں حقیر ہو

ایسا کہاں زمانے میں پیدا ہوا کوئی

اپنی نظیر آپ ہو جو بے نظیر ہو

کھاتا ہے غصہ عقل بشر کو مگر یہ راز

سمجھے گا کب لکیر کا جو بھی فقیر ہو

لگتے ہیں خار دار درختوں پہ پھل مگر

لگتا ہے پھل بھی ویسا کہ جیسا خمیر ہو

کم ظرف کے پڑوس کا پوچھو نہ حال زار

منہ زور ہے غریب ہو چاہے امیر ہو

لیتے ہیں کام ہوش سے چلتا ہے وقت پر

دیدہ وروں کے ہاتھ میں خنجر کہ تیر ہو

عرش ادب کے چاند ستاروں میں ہے شمار

نیرؔ فراقؔ ذوقؔ کہ غالبؔ ہو میرؔ ہو

نیر قریشی گنگوہی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ho Wo Amir-e-shahr Ki Bhuka Faqir Ho

Nayyar Qureshi Gangohi

ho wo amir-e-shahr ki bhuka faqir ho
KHush-baKHt use kahenge jo raushan zamir ho

daulat se kab KHarid sakega use koi
ghurbat mein bhi jo apni ana ka asir ho

kyon kar wo kar sakega bhala apna sar buland
har KHas-o-am ki jo nazar mein haqir ho

aisa kahan zamane mein paida hua koi
apni nazir aap ho jo be-nazir ho

khata hai ghussa aql-e-bashar ko magar ye raaz
samjhega kab lakir ka jo bhi faqir ho

lagte hain KHar-dar daraKHton pe phal magar
lagta hai phal bhi waisa ki jaisa KHamir ho

kam-zarf ke paDos ka puchho na haal-e-zar
munh-zor hai gharib ho chahe amir ho

lete hain kaam hosh se chalta hai waqt par
dida-waron ke hath mein KHanjar ki tir ho

arsh-e-adab ke chand sitaron mein hai shumar
'nayyar' 'firaq' 'zauq' ki 'ghaalib' ho 'mir' ho

(644) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ho Wo Amir-e-shahr Ki Bhuka Faqir Ho written by Nayyar Qureshi Gangohi at UrduPoint. Ho Wo Amir-e-shahr Ki Bhuka Faqir Ho is one of the masterpieces written by Nayyar Qureshi Gangohi. You can also find the complete poetry collection of Nayyar Qureshi Gangohi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nayyar Qureshi Gangohi' above.

Ho Wo Amir-e-shahr Ki Bhuka Faqir Ho is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ho Wo Amir-e-shahr Ki Bhuka Faqir Ho, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.