Dil Bhi Tanha Rahta Hai Aur Meri Talab Tanha, Urdu Ghazal By Nayyar Rani Shafaq

Dil Bhi Tanha Rahta Hai Aur Meri Talab Tanha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nayyar Rani Shafaq. Dil Bhi Tanha Rahta Hai Aur Meri Talab Tanha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dil Bhi Tanha Rahta Hai Aur Meri Talab Tanha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل بھی تنہا رہتا ہے اور مری طلب تنہا

نیر رانی شفق

دل بھی تنہا رہتا ہے اور مری طلب تنہا

آنسوؤں کے میلے میں رہتی ہوں میں اب تنہا

خلوتوں کو ہے میری کس قدر حسیں نسبت

میں زمیں پہ تنہا ہوں عرش پر ہے رب تنہا

اک شجر تھا صحرا میں دھوپ تھی کڑی جس پر

ڈھل گیا تھا سایہ بھی رہ گیا وہ جب تنہا

کیا تجھے خبر بھی ہے ہجر کی حویلی میں

رات بھر تڑپتا ہے کوئی تشنہ لب تنہا

تتلی چڑیا پروانے چاند سورج اور جگنو

اپنی اپنی دنیا میں پھر رہے ہیں سب تنہا

زندگی سے بڑھ کر تھی قیمتی جو شب میری

چشم تر میں ڈوبی سی کٹ گئی وہ شب تنہا

دیر ہو یا کعبہ ہو کس کی جستجو میں یہ

پھر رہا ہے صدیوں سے عشق کا نسب تنہا

یاد کے جھروکوں سے اک صدا سی آتی ہے

عمر کے کٹھن لمحے کٹتے ہیں یہ کب تنہا

کچھ عجب سوالوں میں جانے کن خیالوں میں

کوئی روتا رہتا ہے یوں ہی بے سبب تنہا

سچ کو چھوڑنے والے فکر کیوں نہیں کرتے

جل رہا ہے دوزخ میں کب سے بو لہب تنہا

تب ہوا اجاگر یہ فکر و فن شفق میرا

قبر کے اندھیروں میں رہ گئی میں جب تنہا

نیر رانی شفق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil Bhi Tanha Rahta Hai Aur Meri Talab Tanha

Nayyar Rani Shafaq

dil bhi tanha rahta hai aur meri talab tanha
aansuon ke mele mein rahti hun main ab tanha

KHalwaton ko hai meri kis qadar hasin nisbat
main zamin pe tanha hun arsh par hai rab tanha

ek shajar tha sahra mein dhup thi kaDi jis par
Dhal gaya tha saya bhi rah gaya wo jab tanha

kya tujhe KHabar bhi hai hijr ki haweli mein
raat bhar taDapta hai koi tishna-lab tanha

titli chiDiya parwane chand suraj aur jugnu
apni apni duniya mein phir rahe hain sab tanha

zindagi se baDh kar thi qimti jo shab meri
chashm-e-tar mein Dubi si kaT gai wo shab tanha

dair ho ya kaba ho kis ki justuju mein ye
phir raha hai sadiyon se ishq ka nasab tanha

yaad ke jharokon se ek sada si aati hai
umr ke kaThin lamhe kaTte hain ye kab tanha

kuchh ajab sawalon mein jaane kin KHayalon mein
koi rota rahta hai yunhi be-sabab tanha

sach ko chhoDne wale fikr kyon nahin karte
jal raha hai dozaKH mein kab se bu-lahab tanha

tab hua ujagar ye fikr-o-fan shafaq mera
qabr ke andheron mein rah gai main jab tanha

(500) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil Bhi Tanha Rahta Hai Aur Meri Talab Tanha written by Nayyar Rani Shafaq at UrduPoint. Dil Bhi Tanha Rahta Hai Aur Meri Talab Tanha is one of the masterpieces written by Nayyar Rani Shafaq. You can also find the complete poetry collection of Nayyar Rani Shafaq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nayyar Rani Shafaq' above.

Dil Bhi Tanha Rahta Hai Aur Meri Talab Tanha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil Bhi Tanha Rahta Hai Aur Meri Talab Tanha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.