Har Ek Mausam Ki Niyyat Jaanti Hain, Urdu Ghazal By Naz Butt

Har Ek Mausam Ki Niyyat Jaanti Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naz Butt. Har Ek Mausam Ki Niyyat Jaanti Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Har Ek Mausam Ki Niyyat Jaanti Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہر اک موسم کی نیت جانتی ہیں

ناز بٹ

ہر اک موسم کی نیت جانتی ہیں

ہوا کے ڈر سے شاخیں کانپتی ہیں

کوئی ان کا بھی آ کر ہاتھ روکے

وہ یادیں جو دلوں کو کاٹتی ہیں

مجھے ہے بد دعا شاید کسی کی

مری آنکھوں سے نیندیں بھاگتی ہیں

بدن میں سرسراتی ہے خموشی

رگوں میں وحشتیں سی ناچتی ہیں

عجب سی کیفیت ہے بے بسی کی

میں سو جاؤں تو آنکھیں جاگتی ہیں

جنازوں پر جنازے اٹھ رہے ہیں

سبھی ماؤں کی روحیں کانپتی ہیں

ناز بٹ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Har Ek Mausam Ki Niyyat Jaanti Hain

Naz Butt

har ek mausam ki niyyat jaanti hain
hawa ke Dar se shaKHen kanpti hain

koi un ka bhi aa kar hath roke
wo yaaden jo dilon ko kaTti hain

mujhe hai bad-dua shayad kisi ki
meri aankhon se ninden bhagti hain

badan mein sarsaraati hai KHamoshi
ragon mein wahshaten si nachti hain

ajab si kaifiyat hai bebasi ki
main so jaun to aankhen jagti hain

janazon par janaze uTh rahe hain
sabhi maon ki ruhen kanpti hain

(471) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Har Ek Mausam Ki Niyyat Jaanti Hain written by Naz Butt at UrduPoint. Har Ek Mausam Ki Niyyat Jaanti Hain is one of the masterpieces written by Naz Butt. You can also find the complete poetry collection of Naz Butt by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naz Butt' above.

Har Ek Mausam Ki Niyyat Jaanti Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Har Ek Mausam Ki Niyyat Jaanti Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.