KHizan Se JoD Ke Rishta Bahaar Ka Koi, Urdu Ghazal By Naz Qadri

KHizan Se JoD Ke Rishta Bahaar Ka Koi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naz Qadri. KHizan Se JoD Ke Rishta Bahaar Ka Koi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHizan Se JoD Ke Rishta Bahaar Ka Koi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خزاں سے جوڑ کے رشتہ بہار کا کوئی

ناز قادری

خزاں سے جوڑ کے رشتہ بہار کا کوئی

خوشی نہیں نہ سہی غم تو دے گیا کوئی

نہ شکریہ نہ شکایت یہ ربط ہے کیسا

کسے نصیب تھی فرصت کہ سوچتا کوئی

نہ کوئی دوست نہ دشمن تو پھر یہ الجھن کیوں

تمام عمر اسی کرب میں رہا کوئی

عجیب دور سے وابستگی رہی میری

کہ مل سکا نہ مجھے اپنا ہم نوا کوئی

حقیقتوں کے بھی رخ سے نقاب اٹھ جاتا

کبھی جو اپنے گریباں میں جھانکتا کوئی

گزر گیا تو حریفوں کے وار سے بچ کر

خود اپنی تیغ انا سے نہ بچ سکا کوئی

زباں سے کچھ نہ کہا وہ سمجھ گیا لیکن

مری نگاہ میں تھا حرف التجا کوئی

ناز قادری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHizan Se JoD Ke Rishta Bahaar Ka Koi

Naz Qadri

KHizan se joD ke rishta bahaar ka koi
KHushi nahin na sahi gham to de gaya koi

na shukriya na shikayat ye rabt hai kaisa
kise nasib thi fursat ki sochta koi

na koi dost na dushman to phir ye uljhan kyun
tamam umr isi karb mein raha koi

ajib daur se wabastagi rahi meri
ki mil saka na mujhe apna ham-nawa koi

haqiqaton ke bhi ruKH se naqab uTh jata
kabhi jo apne gareban mein jhankta koi

guzar gaya to harifon ke war se bach kar
KHud apni tegh-e-ana se na bach saka koi

zaban se kuchh na kaha wo samajh gaya lekin
meri nigah mein tha harf-e-iltija koi

(741) ووٹ وصول ہوئے

You can read KHizan Se JoD Ke Rishta Bahaar Ka Koi written by Naz Qadri at UrduPoint. KHizan Se JoD Ke Rishta Bahaar Ka Koi is one of the masterpieces written by Naz Qadri. You can also find the complete poetry collection of Naz Qadri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naz Qadri' above.

KHizan Se JoD Ke Rishta Bahaar Ka Koi is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHizan Se JoD Ke Rishta Bahaar Ka Koi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.