Sahn-e-ehsas Mein Ek Naqsh Nihan Tha Pahle, Urdu Ghazal By Naz Qadri

Sahn-e-ehsas Mein Ek Naqsh Nihan Tha Pahle is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naz Qadri. Sahn-e-ehsas Mein Ek Naqsh Nihan Tha Pahle comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sahn-e-ehsas Mein Ek Naqsh Nihan Tha Pahle on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

صحن احساس میں اک نقش نہاں تھا پہلے

ناز قادری

صحن احساس میں اک نقش نہاں تھا پہلے

تو نہیں تھا ترے ہونے کا گماں تھا پہلے

تہ بہ تہ چار سو خوش رنگ صدا روشن تھی

مجھ سے پہلے بھی کوئی جیسے یہاں تھا پہلے

وہ بھی صحرا کی صداؤں میں گرفتار رہا

اور مجھ میں بھی کوئی ریگ رواں تھا پہلے

وقت نے کر دیا پتھر کی لحد میں تبدیل

اپنا چھوٹا سا جو مٹی کا مکاں تھا پہلے

اب تو آئینۂ احساس ہے بے عکس جمال

مجھ سے چھپ کر بھی کوئی مجھ پہ عیاں تھا پہلے

وہ نہیں تھا تو نہ تھا اس کی ضرورت کیا تھی

اپنے ہونے کا بھی احساس کہاں تھا پہلے

روز و شب سہتے رہے ٹوٹتے لمحوں کا عتاب

کوئی خنجر سا قریب رگ جاں تھا پہلے

آپ کی ہم سفری نے سفر آسان کیا

ورنہ ہر گام یہاں کوہ گراں تھا پہلے

خوش بیانی نے کسی کی مجھے خوش رنگ کیا

اپنا کچھ اور ہی انداز بیاں تھا پہلے

ان سے ملتے ہی ہر اک غم سے ملی نازؔ نجات

زندگی کا یہ حسیں چہرہ کہاں تھا پہلے

ناز قادری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sahn-e-ehsas Mein Ek Naqsh Nihan Tha Pahle

Naz Qadri

sahn-e-ehsas mein ek naqsh nihan tha pahle
tu nahin tha tere hone ka guman tha pahle

tah-ba-tah chaar su KHush-rang sada raushan thi
mujh se pahle bhi koi jaise yahan tha pahle

wo bhi sahra ki sadaon mein giraftar raha
aur mujh mein bhi koi reg-e-rawan tha pahle

waqt ne kar diya patthar ki lahad mein tabdil
apna chhoTa sa jo miTTi ka makan tha pahle

ab to aaina-e-ehsas hai be-aks-e-jamal
mujh se chhup kar bhi koi mujh pe ayan tha pahle

wo nahin tha to na tha us ki zarurat kya thi
apne hone ka bhi ehsas kahan tha pahle

roz-o-shab sahte rahe TuTte lamhon ka itab
koi KHanjar sa qarib-e-rag-e-jaan tha pahle

aap ki ham-safari ne safar aasan kiya
warna har gam yahan koh-e-giran tha pahle

KHush-bayani ne kisi ki mujhe KHush-rang kiya
apna kuchh aur hi andaz-e-bayan tha pahle

un se milte hi har ek gham se mili 'naz' najat
zindagi ka ye hasin chehra kahan tha pahle

(530) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sahn-e-ehsas Mein Ek Naqsh Nihan Tha Pahle written by Naz Qadri at UrduPoint. Sahn-e-ehsas Mein Ek Naqsh Nihan Tha Pahle is one of the masterpieces written by Naz Qadri. You can also find the complete poetry collection of Naz Qadri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naz Qadri' above.

Sahn-e-ehsas Mein Ek Naqsh Nihan Tha Pahle is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sahn-e-ehsas Mein Ek Naqsh Nihan Tha Pahle, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.