Jo Hai Nae Waqt Ka Taqaza To Ye Rawish IKHtiyar Kar Lun, Urdu Ghazal By Nazish Haidari

Jo Hai Nae Waqt Ka Taqaza To Ye Rawish IKHtiyar Kar Lun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nazish Haidari. Jo Hai Nae Waqt Ka Taqaza To Ye Rawish IKHtiyar Kar Lun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jo Hai Nae Waqt Ka Taqaza To Ye Rawish IKHtiyar Kar Lun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جو ہے نئے وقت کا تقاضا تو یہ روش اختیار کر لوں

نازش حیدری

جو ہے نئے وقت کا تقاضا تو یہ روش اختیار کر لوں

کہ خار آنکھوں میں چن کے رکھ لوں دہکتے شعلوں کو پیار کر لوں

چمن کی فطرت سمجھ رہا ہوں خزاں کو بھی جانتا ہوں لیکن

اشارے کرتے ہیں غنچہ و گل کہ بندگیٔ بہار کر لوں

یہ دیکھنا ہے رہ طلب میں ملیں گی گمراہیاں کہاں تک

فریب منزل جو دے رہے ہیں میں وہ بگولے شمار کر لوں

جنوں نے یہ مشورہ دیا ہے نہ ہو کمی ان کی جستجو میں

شعور کی مصلحت یہی ہے شکست کا اعتبار کر لوں

کہاں سے لاؤں میں وہ نگاہیں جو کشمکش خار و گل کی دیکھیں

خدا جو توفیق مجھ کو دے دے نظارۂ کار زار کر لوں

ابھرتے سورج کی روشنی کے ابھی کئی زاویے ہیں پنہاں

کرن جو پہچانتی ہے مجھ کو میں اس کا اور انتظار کر لوں

روا روی میں ہے عمر میری شکار ہوں غلبۂ سفر کا

ذرا ٹھہر جائے وقت کی رو شکایت روزگار کر لوں

مسلسل اک انقلاب کیا کیا ضمیر کو چھو رہا ہے نازشؔ

اگر کرم کا نہ آسرا ہو تو سرکشی اختیار کر لوں

نازش حیدری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jo Hai Nae Waqt Ka Taqaza To Ye Rawish IKHtiyar Kar Lun

Nazish Haidari

jo hai nae waqt ka taqaza to ye rawish iKHtiyar kar lun
ki KHar aankhon mein chun ke rakh lun dahakte shoalon ko pyar kar lun

chaman ki fitrat samajh raha hun KHizan ko bhi jaanta hun lekin
ishaare karte hain ghuncha-o-gul ki bandagi-e-bahaar kar lun

ye dekhna hai rah-e-talab mein milengi gumrahiyan kahan tak
fareb-e-manzil jo de rahe hain main wo bagule shumar kar lun

junun ne ye mashwara diya hai na ho kami un ki justuju mein
shuur ki maslahat yahi hai shikast ka e'tibar kar lun

kahan se laun main wo nigahen jo kashmakash KHar-o-gul ki dekhen
KHuda jo taufiq mujh ko de de nazara-e-kar-zar kar lun

ubharte suraj ki raushni ke abhi kai zawiye hain pinhan
kiran jo pahchanti hai mujh ko main us ka aur intizar kar lun

rawa-rawi mein hai umr meri shikar hun ghalba-e-safar ka
zara Thahar jae waqt ki rau shikayat-e-rozgar kar lun

musalsal ek inqalab kya kya zamir ko chhu raha hai 'nazish'
agar karam ka na aasra ho to sar-kashi iKHtiyar kar lun

(612) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jo Hai Nae Waqt Ka Taqaza To Ye Rawish IKHtiyar Kar Lun written by Nazish Haidari at UrduPoint. Jo Hai Nae Waqt Ka Taqaza To Ye Rawish IKHtiyar Kar Lun is one of the masterpieces written by Nazish Haidari. You can also find the complete poetry collection of Nazish Haidari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nazish Haidari' above.

Jo Hai Nae Waqt Ka Taqaza To Ye Rawish IKHtiyar Kar Lun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jo Hai Nae Waqt Ka Taqaza To Ye Rawish IKHtiyar Kar Lun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.