Mera Haal Mujhse Na Puchhiye Ki Main Gham Se Sina-figar Hun, Urdu Ghazal By Nazish Sahsarami

Mera Haal Mujhse Na Puchhiye Ki Main Gham Se Sina-figar Hun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nazish Sahsarami. Mera Haal Mujhse Na Puchhiye Ki Main Gham Se Sina-figar Hun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mera Haal Mujhse Na Puchhiye Ki Main Gham Se Sina-figar Hun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مرا حال مجھ سے نہ پوچھئے کہ میں غم سے سینہ فگار ہوں

نازش سہسرامی

مرا حال مجھ سے نہ پوچھئے کہ میں غم سے سینہ فگار ہوں

جسے آسماں نے جلا دیا اسی کارواں کا غبار ہوں

جہاں جل رہا تھا کبھی دیا جہاں صدقے ہوتی تھی کہکشاں

جسے کوئی دیکھ کے رو پڑے میں وہی تو سنگ مزار ہوں

یہ بہار اور یہ گلستاں مری تشنگی کے حریف ہیں

مجھے بجلیوں کی تلاش ہے کہ میں دل جلوں کی پکار ہوں

یہی راس آئی ہے دوستی کہ فسانہ بن گئی زندگی

ترے ایک غم کا صلہ ہے یہ کہ ہزار غم سے دو چار ہوں

مری قبر ان کی گلی میں ہو مرا منہ نہیں ہے یہ دوستو

کہیں ڈال دو مری لاش کو کہ میں ننگ کوچۂ یار ہوں

میں فلک کی آنکھ کا نور ہوں میں کسی کا حسن غرور ہوں

میں فریب عشق کی آبرو میں محبتوں کا قرار ہوں

مری ٹوٹی آس بندھائے کون مرا درد پوچھنے آئے کون

جسے تو نے در سے اٹھا دیا میں وہی تو نازشؔ زار ہوں

نازش سہسرامی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mera Haal Mujhse Na Puchhiye Ki Main Gham Se Sina-figar Hun

Nazish Sahsarami

mera haal mujh se na puchhiye ki main gham se sina-figar hun
jise aasman ne jala diya usi karwan ka ghubar hun

jahan jal raha tha kabhi diya jahan sadqe hoti thi kahkashan
jise koi dekh ke ro paDe main wahi to sang-e-mazar hun

ye bahaar aur ye gulsitan meri tishnagi ke harif hain
mujhe bijliyon ki talash hai ki main dil-jalon ki pukar hun

yahi ras aai hai dosti ki fasana ban gai zindagi
tere ek gham ka sila hai ye ki hazar gham se do-chaar hun

meri qabr un ki gali mein ho mera munh nahin hai ye dosto
kahin Dal do meri lash ko ki main nang-e-kucha-e-yar hun

main falak ki aankh ka nur hun main kisi ka husn-e-ghurur hun
main fareb-e-ishq ki aabru main mohabbaton ka qarar hun

meri TuTi aas bandhae kaun mera dard puchhne aae kaun
jise tu ne dar se uTha diya main wahi to 'nazish'-e-zar hun

(388) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mera Haal Mujhse Na Puchhiye Ki Main Gham Se Sina-figar Hun written by Nazish Sahsarami at UrduPoint. Mera Haal Mujhse Na Puchhiye Ki Main Gham Se Sina-figar Hun is one of the masterpieces written by Nazish Sahsarami. You can also find the complete poetry collection of Nazish Sahsarami by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nazish Sahsarami' above.

Mera Haal Mujhse Na Puchhiye Ki Main Gham Se Sina-figar Hun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mera Haal Mujhse Na Puchhiye Ki Main Gham Se Sina-figar Hun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.