Mera Dil Sang-dil Ne Dil Ka Arman Ban Ke LuTa Hai, Urdu Ghazal By Nazish Sikandarpuri

Mera Dil Sang-dil Ne Dil Ka Arman Ban Ke LuTa Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nazish Sikandarpuri. Mera Dil Sang-dil Ne Dil Ka Arman Ban Ke LuTa Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mera Dil Sang-dil Ne Dil Ka Arman Ban Ke LuTa Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مرا دل سنگ دل نے دل کا ارماں بن کے لوٹا ہے

نازش سکندرپوری

مرا دل سنگ دل نے دل کا ارماں بن کے لوٹا ہے

غضب ہے خانۂ الفت کو مہماں بن کے لوٹا ہے

کیا اندھیر ظالم نے بجھا کر شمع الفت کو

امیدوں کی سحر کو شام ہجراں بن کے لوٹا ہے

جھلک دکھلا کے جس نے نیند آنکھوں کی اڑائی تھی

اسی نے نقد دل خواب پریشاں بن کے لوٹا ہے

زبان عشق میں جس کو کہیں گے دشمن ایماں

اسی پیماں شکن نے روح ایماں بن کے لوٹا ہے

زبان شوق پر رکھ رکھ کے الزام سخن سازی

بت خاموش نے مجھ کو زبان داں بن کے لوٹا ہے

میں جس کو منزل مقصود کا رہبر سمجھتا تھا

اسی بے درد نے مجھ کو نگہباں بن کے لوٹا ہے

کیا مجھ کو شکار کفر لے کر آڑ ایماں کی

کسی کافر نے اے نازشؔ مسلماں بن کے لوٹا ہے

نازش سکندرپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mera Dil Sang-dil Ne Dil Ka Arman Ban Ke LuTa Hai

Nazish Sikandarpuri

mera dil sang-dil ne dil ka arman ban ke luTa hai
ghazab hai KHana-e-ulfat ko mehman ban ke luTa hai

kiya andher zalim ne bujha kar sham-e-ulfat ko
umidon ki sahar ko sham-e-hijran ban ke luTa hai

jhalak dikhla ke jis ne nind aankhon ki uDai thi
usi ne naqd-e-dil KHwab-e-pareshan ban ke luTa hai

zaban-e-ishq mein jis ko kahenge dushman-e-iman
usi paiman-shikan ne ruh-e-iman ban ke luTa hai

zaban-e-shauq par rakh rakh ke ilzam-e-suKHan-sazi
but-e-KHamosh ne mujh ko zaban-dan ban ke luTa hai

main jis ko manzil-e-maqsud ka rahbar samajhta tha
usi be-dard ne mujh ko nigahban ban ke lauTa hai

kiya mujh ko shikar-e-kufr le kar aaD iman ki
kisi kafir ne ai 'nazish' musalman ban ke luTa hai

(335) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mera Dil Sang-dil Ne Dil Ka Arman Ban Ke LuTa Hai written by Nazish Sikandarpuri at UrduPoint. Mera Dil Sang-dil Ne Dil Ka Arman Ban Ke LuTa Hai is one of the masterpieces written by Nazish Sikandarpuri. You can also find the complete poetry collection of Nazish Sikandarpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nazish Sikandarpuri' above.

Mera Dil Sang-dil Ne Dil Ka Arman Ban Ke LuTa Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mera Dil Sang-dil Ne Dil Ka Arman Ban Ke LuTa Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.