Is Waste Adam Ki Manzil Ko DhunDte Hain, Urdu Ghazal By Nazm Tabatabai

Is Waste Adam Ki Manzil Ko DhunDte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nazm Tabatabai. Is Waste Adam Ki Manzil Ko DhunDte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Is Waste Adam Ki Manzil Ko DhunDte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اس واسطے عدم کی منزل کو ڈھونڈتے ہیں

نظم طبا طبائی

اس واسطے عدم کی منزل کو ڈھونڈتے ہیں

مدت سے دوستوں کی محفل کو ڈھونڈتے ہیں

یہ دل کے پار ہو کر پھر دل کو ڈھونڈتے ہیں

تیر نگاہ اس کے بسمل کو ڈھونڈتے ہیں

اک لہر میں نہ تھے ہم کیوں اے حباب دیکھا

یوں آنکھ بند کر کے ساحل کو ڈھونڈتے ہیں

طرز کرم کی شاہد ہیں میوہ دار شاخیں

اس طرح سر جھکا کر سائل کو ڈھونڈتے ہیں

ہے وصل و ہجر اپنا اے قیس طرفہ مضموں

محمل میں بیٹھے ہیں اور محمل کو ڈھونڈتے ہیں

طول امل کا رستہ ممکن نہیں کہ طے ہو

منزل پہ بھی پہنچ کر منزل کو ڈھونڈتے ہیں

حسرت شباب کی ہے ایام شیب میں بھی

معدوم کی ہوس ہے زائل کو ڈھونڈتے ہیں

اٹھتے ہیں ولولے کچھ ہر بار درد بن کر

کیا جانیے جگر کو یا دل کو ڈھونڈتے ہیں

زخم جگر کا میرے ہے رشک دوستوں کو

مرتا ہوں میں کہ یہ کیوں قاتل کو ڈھونڈتے ہیں

اہل ہوس کی کشتی یک بام و دو ہوا ہے

دریائے عشق میں بھی ساحل کو ڈھونڈتے ہیں

آیا جو رحم مجھ پر اس میں بھی چال ہے کچھ

سینہ پہ ہاتھ رکھ کر اب دل کو ڈھونڈتے ہیں

کرتے ہیں کار فرہاد آساں زمین میں بھی

مشکل پسند ہیں ہم مشکل کو ڈھونڈتے ہیں

اے خضر پئے خجستہ بہر خدا کرم کر

بھٹکے ہوئے مسافر منزل کو ڈھونڈتے ہیں

دل خواہ تیرے عشوے دل جو ترے اشارے

وہ دل ٹٹولتے ہیں یہ دل کو ڈھونڈتے ہیں

اے نظمؔ کیا بتائیں حج و طواف اپنا

کعبے میں بھی کسی کی محمل کو ڈھونڈتے ہیں

نظم طبا طبائی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Is Waste Adam Ki Manzil Ko DhunDte Hain

Nazm Tabatabai

is waste adam ki manzil ko DhunDte hain
muddat se doston ki mahfil ko DhunDte hain

ye dil ke par ho kar phir dil ko DhunDte hain
tir-e-nigah us ke bismil ko DhunDte hain

ek lahr mein na the hum kyun ai habab dekha
yun aankh band kar ke sahil ko DhunDte hain

tarz-e-karam ki shahid hain mewa-dar shaKHen
is tarah sar jhuka kar sail ko DhunDte hain

hai wasl o hijr apna ai qais turfa-mazmun
mahmil mein baiThe hain aur mahmil ko DhunDte hain

tul-e-amal ka rasta mumkin nahin ki tai ho
manzil pe bhi pahunch kar manzil ko DhunDte hain

hasrat shabab ki hai ayyam-e-sheb mein bhi
madum ki hawas hai zail ko DhunDte hain

uThte hain walwale kuchh har bar dard ban kar
kya jaaniye jigar ko ya dil ko DhunDte hain

zaKHm-e-jigar ka mere hai rashk doston ko
marta hun main ki ye kyun qatil ko DhunDte hain

ahl-e-hawas ki kashti yak baam o do hawa hai
dariya-e-ishq mein bhi sahil ko DhunDte hain

aaya jo rahm mujh par is mein bhi chaal hai kuchh
sine pe hath rakh kar ab dil ko DhunDte hain

karte hain kar-e-farhad aasan zamin mein bhi
mushkil-pasand hain hum mushkil ko DhunDte hain

ai KHizr pai-e-KHajista bahr-e-KHuda karam kar
bhaTke hue musafir manzil ko DhunDte hain

dil-KHwah tere ishwe dil-ju tere ishaare
wo dil TaTolte hain ye dil ko DhunDte hain

ai 'nazm' kya bataen hajj-o-tawaf apna
kabe mein bhi kisi ki mahmil ko DhunDte hain

(541) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Is Waste Adam Ki Manzil Ko DhunDte Hain written by Nazm Tabatabai at UrduPoint. Is Waste Adam Ki Manzil Ko DhunDte Hain is one of the masterpieces written by Nazm Tabatabai. You can also find the complete poetry collection of Nazm Tabatabai by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nazm Tabatabai' above.

Is Waste Adam Ki Manzil Ko DhunDte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Is Waste Adam Ki Manzil Ko DhunDte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.