Sang-e-jafa Ka Gham Nahin Dast-e-talab Ka Dar Nahin, Urdu Ghazal By Nazm Tabatabai

Sang-e-jafa Ka Gham Nahin Dast-e-talab Ka Dar Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nazm Tabatabai. Sang-e-jafa Ka Gham Nahin Dast-e-talab Ka Dar Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sang-e-jafa Ka Gham Nahin Dast-e-talab Ka Dar Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سنگ جفا کا غم نہیں دست طلب کا ڈر نہیں

نظم طبا طبائی

سنگ جفا کا غم نہیں دست طلب کا ڈر نہیں

اپنا ہے اس پر آشیاں نخل جو بارور نہیں

سنتے ہو اہل قافلہ میں کوئی راہ بر نہیں

دیکھ رہا ہوں تم میں سے ایک بھی راہ پر نہیں

موت کا گھر ہے آسماں اس سے کہیں مفر نہیں

نکلیں تو کوئی در نہیں بھاگیں تو رہ گزر نہیں

پہلے جگر پر آہ کا نام نہ تھا نشاں نہ تھا

آخر کار یہ ہوا آہ تو ہے جگر نہیں

صبح ازل سے تا ابد قصہ نہ ہوگا یہ تمام

جور فلک کی داستاں ایسی بھی مختصر نہیں

برگ خزاں رسیدہ ہوں چھیڑ نہ مجھ کو اے نسیم

ذوق فغاں کا ہے مجھے شکوۂ ابر تر نہیں

منکر حشر ہے کدھر دیکھے تو آنکھ کھول کر

حشر کی جو خبر نہ دے ایسی کوئی سحر نہیں

شبنم و گل کو دیکھ کر وجد نہ آئے کس طرح

خندہ بے سبب نہیں گریہ بے اثر نہیں

تیرے فقیر کا غرور تاجوروں سے ہے سوا

طرف کلہ میں دے شکن اس کو یہ درد سر نہیں

کوشک و قصر و بام و در تو نے بنا کئے تو کیا

حیف ہے خانماں خراب دل میں کسی کے گھیر نہیں

نالہ کشی رقیب سے میری طرح محال ہے

دل نہیں حوصلہ نہیں زہرہ نہیں جگر نہیں

شاطر پیر آسماں واہ ری تیری دست برد

خسرو و کیقباد کی تیغ نہیں کمر نہیں

شان کریم کی یہ ہے ہاں سے ہو پیشتر عطا

لطف عطا کا کیا ہو جب ہاں سے ہو پیشتر نہیں

لاکھ وہ بے رخی کرے لاکھ وہ کج روی کرے

کچھ تو ملال اس کا ہو دل کو مرے مگر نہیں

سن کے برا نہ مانئے سچ کو نہ جھوٹ جانئے

ذکر ہے کچھ گلہ نہیں بات ہے نیشتر نہیں

نظم طبا طبائی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sang-e-jafa Ka Gham Nahin Dast-e-talab Ka Dar Nahin

Nazm Tabatabai

sang-e-jafa ka gham nahin dast-e-talab ka Dar nahin
apna hai us par aashiyan naKHl jo barwar nahin

sunte ho ahl-e-qafila main koi rahbar nahin
dekh raha hun tum mein se ek bhi rah par nahin

maut ka ghar hai aasman is se kahin mafar nahin
niklen to koi dar nahin bhagen to rahguzar nahin

pahle jigar par aah ka nam na tha nishan na tha
aaKHir-e-kar ye hua aah to hai jigar nahin

subh-e-azal se ta-abad qissa na hoga ye tamam
jaur-e-falak ki dastan aisi bhi muKHtasar nahin

barg-e-KHizan-rasida hun chheD na mujh ko ai nasim
zauq fughan ka hai mujhe shikwa-e-abr-e-tar nahin

munkir-e-hashr hai kidhar dekhe tu aankh khol kar
hashr ki jo KHabar na de aisi koi sahar nahin

shabnam o gul ko dekh kar wajd na aae kis tarah
KHanda be-sabab nahin girya be-asar nahin

tere faqir ka ghurur tajwaron se hai siwa
tarf-e-kulah mein de shikan us ko ye dard-e-sar nahin

koshak o qasr o baam-o-dar tu ne bina kiye to kya
haif hai KHanuman-KHarab dil mein kisi ke gher nahin

nala-kashi raqib se meri tarah muhaal hai
dil nahin hausla nahin zohra nahin jigar nahin

shatir-e-pir-e-asman wah-ri teri dastburd
KHusraw o kaiqibaad ki tegh nahin kamar nahin

shan karim ki ye hai han se ho peshtar ata
lutf ata ka kya ho jab han se ho peshtar nahin

lakh wo be-ruKHi kare lakh wo kaj-rawi kare
kuchh to malal is ka ho dil ko mere magar nahin

sun ke bura na maniye sach ko na jhuT jaaniye
zikr hai kuchh gila nahin baat hai neshtar nahin

(595) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sang-e-jafa Ka Gham Nahin Dast-e-talab Ka Dar Nahin written by Nazm Tabatabai at UrduPoint. Sang-e-jafa Ka Gham Nahin Dast-e-talab Ka Dar Nahin is one of the masterpieces written by Nazm Tabatabai. You can also find the complete poetry collection of Nazm Tabatabai by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nazm Tabatabai' above.

Sang-e-jafa Ka Gham Nahin Dast-e-talab Ka Dar Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sang-e-jafa Ka Gham Nahin Dast-e-talab Ka Dar Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.