Ho Rahi Hai Is Tasawwur Se Pareshani Mujhe, Urdu Ghazal By Nihal Rizvi Lucknowi

Ho Rahi Hai Is Tasawwur Se Pareshani Mujhe is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nihal Rizvi Lucknowi. Ho Rahi Hai Is Tasawwur Se Pareshani Mujhe comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ho Rahi Hai Is Tasawwur Se Pareshani Mujhe on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہو رہی ہے اس تصور سے پریشانی مجھے

نہال رضوی لکھنوی

ہو رہی ہے اس تصور سے پریشانی مجھے

آئنہ ان کو اداسی دے گا حیرانی مجھے

خون رلواتی ہے ہم جنسوں کی نادانی مجھے

وہ خطا کرتے ہیں ہوتی ہے پشیمانی مجھے

ہو گیا ہے آج ہر انساں ضرورت کا غلام

اب کسی تلوار پر ملتا نہیں پانی مجھے

یہ ہوا عقل و جنوں کی جنگ کا رد عمل

حکمراں ملتی ہے ہر بستی پہ ویرانی مجھے

جب حقارت سے کسی کو دیکھتا ہے کوئی شخص

کیا کہوں ہوتی ہے جو تکلیف روحانی مجھے

جانتا ہوں ضد نہ کرنا پوچھنے کی دوستو

کس کے در پر خم ملی ہے کس کی پیشانی مجھے

سر جھکے تو بس نہ اٹھنے کی قسم کھا کر جھکے

مشورہ یہ دے رہی ہے میری پیشانی مجھے

آج کے زہرہ جمالوں کا تمدن دیکھ کر

سرنگوں ملتی ہے بوئے گل کی عریانی مجھے

امتحاں لیتی ہے قدرت حیثیت کو دیکھ کر

قہقہے ان کو ملے ہیں اشک افشانی مجھے

چاند تاروں کے جہاں میں گھر بنانے کے لئے

آج کل دنیا نظر آتی ہے دیوانی مجھے

اب کسی کشتی کو دریا میں کوئی خطرہ نہیں

خیمہ زن ملتی ہے ہر ساحل پہ طغیانی مجھے

میکدے کی بات ہی کیا پوچھتے ہو دوستو

محترم لوگوں کے ماتھے پر ملا پانی مجھے

عشق تو انسانیت کے امتحاں کا نام ہے

ہو نہالؔ اس امتحاں سے کیوں پریشانی مجھے

نہال رضوی لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ho Rahi Hai Is Tasawwur Se Pareshani Mujhe

Nihal Rizvi Lucknowi

ho rahi hai is tasawwur se pareshani mujhe
aaina un ko udasi dega hairani mujhe

KHun rulwati hai ham-jinson ki nadani mujhe
wo KHata karte hain hoti hai pashemani mujhe

ho gaya hai aaj har insan zarurat ka ghulam
ab kisi talwar par milta nahin pani mujhe

ye hua aql-o-junun ki jang ka radd-e-amal
hukmran milti hai har basti pe virani mujhe

jab hiqarat se kisi ko dekhta hai koi shaKHs
kya kahun hoti hai jo taklif-e-ruhani mujhe

jaanta hun zid na karna puchhne ki dosto
kis ke dar par KHam mili hai kis ki peshani mujhe

sar jhuke to bas na uThne ki qasam kha kar jhuke
mashwara ye de rahi hai meri peshani mujhe

aaj ke zohra-jamalon ka tamaddun dekh kar
sar-nigun milti hai bu-e-gul ki uryani mujhe

imtihan leti hai qudrat haisiyat ko dekh kar
qahqahe un ko mile hain ashk-afshani mujhe

chand taron ke jahan mein ghar banane ke liye
aaj-kal duniya nazar aati hai diwani mujhe

ab kisi kashti ko dariya mein koi KHatra nahin
KHema-zan milti hai har sahil pe tughyani mujhe

mai-kade ki baat hi kya puchhte ho dosto
mohtaram logon ke mathe par mila pani mujhe

ishq to insaniyat ke imtihan ka nam hai
ho 'nihaal' is imtihan se kyon pareshani mujhe

(398) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ho Rahi Hai Is Tasawwur Se Pareshani Mujhe written by Nihal Rizvi Lucknowi at UrduPoint. Ho Rahi Hai Is Tasawwur Se Pareshani Mujhe is one of the masterpieces written by Nihal Rizvi Lucknowi. You can also find the complete poetry collection of Nihal Rizvi Lucknowi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nihal Rizvi Lucknowi' above.

Ho Rahi Hai Is Tasawwur Se Pareshani Mujhe is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ho Rahi Hai Is Tasawwur Se Pareshani Mujhe, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.