Dhuan Gar UThta Hai Dil Se Ki Jaan Se UThne Do, Urdu Ghazal By Nirmal Nadeem

Dhuan Gar UThta Hai Dil Se Ki Jaan Se UThne Do is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nirmal Nadeem. Dhuan Gar UThta Hai Dil Se Ki Jaan Se UThne Do comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dhuan Gar UThta Hai Dil Se Ki Jaan Se UThne Do on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دھواں گر اٹھتا ہے دل سے کہ جاں سے اٹھنے دو

نرمل ندیم

دھواں گر اٹھتا ہے دل سے کہ جاں سے اٹھنے دو

مجھے نہ روکو حسینو جہاں سے اٹھنے دو

کسی کی خاک کف پا ہے کائنات مری

ستارو چھوڑو مجھے آسماں سے اٹھنے دو

تم اپنے سر پہ یہ الزام کیوں اٹھاتے ہو

وفا کا مدعا میری زباں سے اٹھنے دو

تمہارے جانے کی تدبیر بھی نکالوں گا

چراغ بجھتے ہوئے آشیاں سے اٹھنے دو

چٹان غم کی جو دل پر رکھی ہے صدیوں سے

کبھی تو درد کے آب رواں سے اٹھنے دو

میرے کفن میں بھی اک داغ تم لگا دینا

مری یہ لاش مگر آستاں سے اٹھنے دو

تمہارے تیر کو مل جائے گی جگہ کوئی

بس ایک آہ دل مہرباں سے اٹھنے دو

کہاں کا چاند کیا سورج کہاں کے سیارے

مجھے فریب کی اس کہکشاں سے اٹھنے دو

ندیمؔ وصل کی صورت نکال ہی لے گا

بدن کو پہلے ذرا درمیاں سے اٹھنے دو

نرمل ندیم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dhuan Gar UThta Hai Dil Se Ki Jaan Se UThne Do

Nirmal Nadeem

dhuan gar uThta hai dil se ki jaan se uThne do
mujhe na roko hasino jahan se uThne do

kisi ki KHak-e-kaf-e-pa hai kaenat meri
sitaro chhoDo mujhe aasman se uThne do

tum apne sar pe ye ilzam kyon uThate ho
wafa ka muddaa meri zaban se uThne do

tumhaare jaane ki tadbir bhi nikalunga
charagh bujhte hue aashiyan se uThne do

chaTan gham ki jo dil par rakhi hai sadiyon se
kabhi to dard ke aab-e-rawan se uThne do

mere kafan mein bhi ek dagh tum laga dena
meri ye lash magar aastan se uThne do

tumhaare tir ko mil jaegi jagah koi
bas ek aah dil-e-mehrban se uThne do

kahan ka chand kya suraj kahan ke sayyare
mujhe fareb ki is kahkashan se uThne do

'nadim' wasl ki surat nikal hi lega
badan ko pahle zara darmiyan se uThne do

(555) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dhuan Gar UThta Hai Dil Se Ki Jaan Se UThne Do written by Nirmal Nadeem at UrduPoint. Dhuan Gar UThta Hai Dil Se Ki Jaan Se UThne Do is one of the masterpieces written by Nirmal Nadeem. You can also find the complete poetry collection of Nirmal Nadeem by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nirmal Nadeem' above.

Dhuan Gar UThta Hai Dil Se Ki Jaan Se UThne Do is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dhuan Gar UThta Hai Dil Se Ki Jaan Se UThne Do, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.