Gali Mein Husn Ki Jo Naqsh-e-pa Chamakta Hai, Urdu Ghazal By Nirmal Nadeem

Gali Mein Husn Ki Jo Naqsh-e-pa Chamakta Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nirmal Nadeem. Gali Mein Husn Ki Jo Naqsh-e-pa Chamakta Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Gali Mein Husn Ki Jo Naqsh-e-pa Chamakta Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گلی میں حسن کی جو نقش پا چمکتا ہے

نرمل ندیم

گلی میں حسن کی جو نقش پا چمکتا ہے

ہمارے عشق ہی کا مرتبہ چمکتا ہے

اسی لئے تو مجھے نیند ہی نہیں آتی

تمام رات کوئی خط کھلا چمکتا ہے

ہزاروں شاہ جو جھکتے ہیں سامنے اس کے

کسی فقیر کی جھولی میں کیا چمکتا ہے

کئی دنوں سے یہ عالم ہے درد کا دل میں

کسی مزار پہ جیسے دیا چمکتا ہے

میں آنکھ موند کے ہی اس کو یاد کرتا ہوں

مجھے پتہ ہے کہ میرا خدا چمکتا ہے

کبھی جو خواب میں آتی ہے اس کی پرچھائی

ہماری آنکھ میں اک آئنہ چمکتا ہے

اسی کا قافلہ پاتا ہے منزلوں کا پتہ

غبار راہ میں جو رہنما چمکتا ہے

تمام صدیوں نے سینچا ہے اپنے اشکوں سے

اسی کے نور سے دامن مرا چمکتا ہے

کشش یہ کیسی ہے لفظوں میں کس کا جلوہ ہے

ندیمؔ آپ کی غزلوں میں کیا چمکتا ہے

نرمل ندیم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gali Mein Husn Ki Jo Naqsh-e-pa Chamakta Hai

Nirmal Nadeem

gali mein husn ki jo naqsh-e-pa chamakta hai
hamare ishq hi ka martaba chamakta hai

isi liye to mujhe nind hi nahin aati
tamam raat koi KHat khula chamakta hai

hazaron shah jo jhukte hain samne us ke
kisi faqir ki jholi mein kya chamakta hai

kai dinon se ye aalam hai dard ka dil mein
kisi mazar pe jaise diya chamakta hai

main aankh mund ke hi us ko yaad karta hun
mujhe pata hai ki mera KHuda chamakta hai

kabhi jo KHwab mein aati hai us ki parchhai
hamari aankh mein ek aaina chamakta hai

usi ka qafila pata hai manzilon ka pata
ghubar-e-rah mein jo rahnuma chamakta hai

tamam sadiyon ne sincha hai apne ashkon se
usi ke nur se daman mera chamakta hai

kashish ye kaisi hai lafzon mein kis ka jalwa hai
'nadim' aap ki ghazlon mein kya chamakta hai

(506) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Gali Mein Husn Ki Jo Naqsh-e-pa Chamakta Hai written by Nirmal Nadeem at UrduPoint. Gali Mein Husn Ki Jo Naqsh-e-pa Chamakta Hai is one of the masterpieces written by Nirmal Nadeem. You can also find the complete poetry collection of Nirmal Nadeem by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nirmal Nadeem' above.

Gali Mein Husn Ki Jo Naqsh-e-pa Chamakta Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Gali Mein Husn Ki Jo Naqsh-e-pa Chamakta Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.