Ragon Mein Meri Shararon Ka Raqs Jari Hai, Urdu Ghazal By Nirmal Nadeem

Ragon Mein Meri Shararon Ka Raqs Jari Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nirmal Nadeem. Ragon Mein Meri Shararon Ka Raqs Jari Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ragon Mein Meri Shararon Ka Raqs Jari Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رگوں میں میری شراروں کا رقص جاری ہے

نرمل ندیم

رگوں میں میری شراروں کا رقص جاری ہے

جنوں ہے رنج ہے غم ہے کہ بے قراری ہے

دل اسیر کے زخموں میں کیا نہیں موجود

وفا ہے عشق ہے وحشت ہے جاں نثاری ہے

لبوں پہ دشت ہے آنکھوں میں خون کے دھبے

سمندروں سے مگر اپنی روبکاری ہے

ادائے ناز سے کرتا ہے ظلم وہ مجھ پر

اسے نہ خوف خدا ہے نہ شرمساری ہے

ہوا میں گھلتی ہوئی خوشبوؤں نے فرمایا

گریز تم سے نہیں جگ سے پردہ داری ہے

جسے گلے سے لگایا بنا دیا سورج

بلندیوں سے کہیں بڑھ کے خاکساری ہے

تھرک رہے ہیں منڈیروں پہ مور خواہش کے

وہ جب سے آیا ہے دل میں سرور طاری ہے

تمہارے چہرے سے بہتا ہے نور کا جھرنا

تمہاری زلفوں سے عالم میں آبیاری ہے

فلک سے ہوتی ہے نازل دعاؤں کی تنویر

عبادتوں سے مرا رنگ آہ و زاری ہے

قریب آ کے کبھی دیکھو میری تنہائی

اس انتظار کے دامن میں کیا خماری ہے

پرندے شاخ سے اک ایک کر کے اڑتے گئے

ہمیں بچے ہیں ہماری بھی اب کے باری ہے

بدن تو صورت دیوار اشتہار ہوا

زباں پہ عشق کے چھالوں کی لالہ کاری ہے

ڈھلی ہے شام بجھانے میں آگ سورج کی

چراغ درد جلانے میں شب گزاری ہے

ہمارے خواب بھٹکتے ہیں دشت و صحرا میں

کسے بتائیں کہ کیا آرزو ہماری ہے

ندیمؔ دونوں جہاں اس کی دوستی پہ نثار

اسی سے رنج اسی سے ہی غم گساری ہے

نرمل ندیم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ragon Mein Meri Shararon Ka Raqs Jari Hai

Nirmal Nadeem

ragon mein meri shararon ka raqs jari hai
junun hai ranj hai gham hai ki be-qarari hai

dil-e-asir ke zaKHmon mein kya nahin maujud
wafa hai ishq hai wahshat hai jaan-nisari hai

labon pe dasht hai aankhon mein KHun ke dhabbe
samundaron se magar apni ru-bakari hai

ada-e-naz se karta hai zulm wo mujh par
use na KHauf-e-KHuda hai na sharmsari hai

hawa mein ghulti hui KHushbuon ne farmaya
gurez tum se nahin jag se parda-dari hai

jise gale se lagaya bana diya suraj
bulandiyon se kahin baDh ke KHaksari hai

thirak rahe hain munDeron pe mor KHwahish ke
wo jab se aaya hai dil mein surur tari hai

tumhaare chehre se bahta hai nur ka jharna
tumhaari zulfon se aalam mein aabiyari hai

falak se hoti hai nazil duaon ki tanwir
ibaadaton se mera rang-e-ah-o-zari hai

qarib aa ke kabhi dekho meri tanhai
is intizar ke daman mein kya KHumari hai

parinde shaKH se ek ek kar ke uDte gae
hamin bache hain hamari bhi ab ke bari hai

badan to surat-e-diwar ishtihaar hua
zaban pe ishq ke chhaalon ki lala-kari hai

Dhali hai sham bujhane mein aag suraj ki
charagh-e-dard jalane mein shab guzari hai

hamare KHwab bhaTakte hain dasht-o-sahra mein
kise bataen ki kya aarzu hamari hai

'nadim' donon jahan us ki dosti pe nisar
usi se ranj usi se hi gham-gusari hai

(556) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ragon Mein Meri Shararon Ka Raqs Jari Hai written by Nirmal Nadeem at UrduPoint. Ragon Mein Meri Shararon Ka Raqs Jari Hai is one of the masterpieces written by Nirmal Nadeem. You can also find the complete poetry collection of Nirmal Nadeem by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nirmal Nadeem' above.

Ragon Mein Meri Shararon Ka Raqs Jari Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ragon Mein Meri Shararon Ka Raqs Jari Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.