Ghar Bulata Hai Kabhi Shauq-e-safar Khinchta Hai, Urdu Ghazal By Nisar Mahmood Taseer

Ghar Bulata Hai Kabhi Shauq-e-safar Khinchta Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nisar Mahmood Taseer. Ghar Bulata Hai Kabhi Shauq-e-safar Khinchta Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ghar Bulata Hai Kabhi Shauq-e-safar Khinchta Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گھر بلاتا ہے کبھی شوق سفر کھینچتا ہے

نثار محمود تاثیر

گھر بلاتا ہے کبھی شوق سفر کھینچتا ہے

دوڑ پڑتا ہوں مجھے جو بھی جدھر کھینچتا ہے

اس طرح کھینچتی ہیں مجھ کو کسی کی آنکھیں

جیسے طوفان میں کشتی کو بھنور کھینچتا ہے

کیسے ممکن ہے بھلا چاند نہ دیکھے کوئی

حسن کامل ہو تو پھر خود ہی نظر کھینچتا ہے

شام ڈھلتے ہی تیری سمت چلا آتا ہوں

جیسے بھٹکے ہوئے پنچھی کو شجر کھینچتا ہے

اس کے کوچے سے گزرنے کا سبب ہے تاثیر

ایک جھونکا سا ہے خوشبو کا ادھر کھینچتا ہے

شوق کی بات ہے ورنہ سخن آسان نہیں

ایک مصرع بھی میاں خون جگر کھینچتا ہے

نثار محمود تاثیر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ghar Bulata Hai Kabhi Shauq-e-safar Khinchta Hai

Nisar Mahmood Taseer

ghar bulata hai kabhi shauq-e-safar khinchta hai
dauD paDta hun mujhe jo bhi jidhar khinchta hai

is tarah khinchti hain mujh ko kisi ki aankhen
jaise tufan mein kashti ko bhanwar khinchta hai

kaise mumkin hai bhala chand na dekhe koi
husn kaamil ho to phir KHud hi nazar khinchta hai

sham Dhalte hi teri samt chala aata hun
jaise bhaTke hue panchhi ko shajar khinchta hai

us ke kuche se guzarne ka sabab hai tasir
ek jhonka sa hai KHushbu ka idhar khinchta hai

shauq ki baat hai warna suKHan aasan nahin
ek misra bhi miyan KHun-e-jigar khinchta hai

(641) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ghar Bulata Hai Kabhi Shauq-e-safar Khinchta Hai written by Nisar Mahmood Taseer at UrduPoint. Ghar Bulata Hai Kabhi Shauq-e-safar Khinchta Hai is one of the masterpieces written by Nisar Mahmood Taseer. You can also find the complete poetry collection of Nisar Mahmood Taseer by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nisar Mahmood Taseer' above.

Ghar Bulata Hai Kabhi Shauq-e-safar Khinchta Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ghar Bulata Hai Kabhi Shauq-e-safar Khinchta Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.