Aadat Se Unki Dil Ko KHushi Bhi Hai Gham Bhi Hai, Urdu Ghazal By Nizam Rampuri

Aadat Se Unki Dil Ko KHushi Bhi Hai Gham Bhi Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nizam Rampuri. Aadat Se Unki Dil Ko KHushi Bhi Hai Gham Bhi Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aadat Se Unki Dil Ko KHushi Bhi Hai Gham Bhi Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عادت سے ان کی دل کو خوشی بھی ہے غم بھی ہے

نظام رامپوری

عادت سے ان کی دل کو خوشی بھی ہے غم بھی ہے

یہ لطف ہے ستم بھی ہے عذر ستم بھی ہے

الفت مجھے جتاتے ہو دل میں بھی درد ہے

رونے کا منہ بناتے ہو آنکھوں میں نم بھی ہے

اس بت کا وصل تھا تو خدائی کا عیش تھا

یہ جانتے نہ تھے کہ زمانے میں غم بھی ہے

تسکین میرے دل کی اور اس بے وفا کا قول

دل میں فریب بھی ہے لبوں پر قسم بھی ہے

اب آؤ مل کے سو رہیں تکرار ہو چکی

آنکھوں میں نیند بھی ہے بہت رات کم بھی ہے

نومیدی بھی ہے وصل سے اس کے امید بھی

کچھ درد دل بڑھا بھی ہے کچھ رنج کم بھی ہے

یہ بات گر نہ ہو تو کرے کون حوصلہ

ملنا کسی کا سہل بھی ہے اور الم بھی ہے

جاتا ہے شک بھی کر گیا ہے وہم میں وہ شوخ

کوچے میں غیر ہی کے نشان قدم بھی ہے

باہم تپاک بھی ہیں کبھی رنجشیں بھی ہیں

لطف و کرم بھی ہے کبھی جور و ستم بھی ہے

آ جائیں وہ مگر مجھے آتا نہیں یقیں

قاصد کا جو ہے قول وہ خط میں رقم بھی ہے

بگڑے ہوئے ہیں آج خدا خیر ہی کرے

کچھ بل بھی ہے جبیں پہ کچھ ابرو پہ خم بھی ہے

مر جاتے ہم تو کب کے اجل دیکھتی ہے تو

فرصت کسی کے غم سے ہمیں کوئی دم بھی ہے

کہنے کو دو مکاں ہیں کیں تو ہے ایک ہی

بیت الصنم ہے جو وہی بیت الحرم بھی ہے

یوں کہہ کے بھول جانا یہ خو آپ ہی کی ہے

مجھ کو وہ یاد عہد بھی ہے وہ قسم بھی ہے

جب کچھ کہوں تو کہتے ہیں یہ پھر سنوں گا میں

پھر ایسا کوئی وقت بھی ہے کوئی دم بھی ہے

کیسا وصال و ہجر اگر فہم ہے نظامؔ

ہر حال میں جدا بھی ہے وہ اور بہم بھی ہے

نظام رامپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aadat Se Unki Dil Ko KHushi Bhi Hai Gham Bhi Hai

Nizam Rampuri

aadat se un ki dil ko KHushi bhi hai gham bhi hai
ye lutf hai sitam bhi hai uzr-e-sitam bhi hai

ulfat mujhe jatate ho dil mein bhi dard hai
rone ka munh banate ho aankhon mein nam bhi hai

is but ka wasl tha to KHudai ka aish tha
ye jaante na the ki zamane mein gham bhi hai

taskin mere dil ki aur us bewafa ka qaul
dil mein fareb bhi hai labon par qasam bhi hai

ab aao mil ke so rahen takrar ho chuki
aankhon mein nind bhi hai bahut raat kam bhi hai

naumidi bhi hai wasl se us ke umid bhi
kuchh dard-e-dil baDha bhi hai kuchh ranj kam bhi hai

ye baat gar na ho to kare kaun hausla
milna kisi ka sahl bhi hai aur alam bhi hai

jata hai shak bhi kar gaya hai wahm mein wo shoKH
kuche mein ghair hi ke nishan-e-qadam bhi hai

baham tapak bhi hain kabhi ranjishen bhi hain
lutf-o-karam bhi hai kabhi jaur-o-sitam bhi hai

aa jaen wo magar mujhe aata nahin yaqin
qasid ka jo hai qaul wo KHat mein raqam bhi hai

bigDe hue hain aaj KHuda KHair hi kare
kuchh bal bhi hai jabin pe kuchh abru pe KHam bhi hai

mar jate hum to kab ke ajal dekhti hai tu
fursat kisi ke gham se hamein koi dam bhi hai

kahne ko do makan hain kin to hai ek hi
bait-us-sanam hai jo wahi bait-ul-haram bhi hai

yun kah ke bhul jaana ye KHu aap hi ki hai
mujh ko wo yaad ahd bhi hai wo qasam bhi hai

jab kuchh kahun to kahte hain ye phir sununga main
phir aisa koi waqt bhi hai koi dam bhi hai

kaisa visal o hijr agar fahm hai 'nizam'
har haal mein juda bhi hai wo aur baham bhi hai

(647) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aadat Se Unki Dil Ko KHushi Bhi Hai Gham Bhi Hai written by Nizam Rampuri at UrduPoint. Aadat Se Unki Dil Ko KHushi Bhi Hai Gham Bhi Hai is one of the masterpieces written by Nizam Rampuri. You can also find the complete poetry collection of Nizam Rampuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nizam Rampuri' above.

Aadat Se Unki Dil Ko KHushi Bhi Hai Gham Bhi Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aadat Se Unki Dil Ko KHushi Bhi Hai Gham Bhi Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.