Jab To Main Hun Aah Mein Aisa Asar Paida Karun, Urdu Ghazal By Nizam Rampuri

Jab To Main Hun Aah Mein Aisa Asar Paida Karun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nizam Rampuri. Jab To Main Hun Aah Mein Aisa Asar Paida Karun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jab To Main Hun Aah Mein Aisa Asar Paida Karun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جب تو میں ہوں آہ میں ایسا اثر پیدا کروں

نظام رامپوری

جب تو میں ہوں آہ میں ایسا اثر پیدا کروں

اے ستم گر تیرے دل میں اپنا گھر پیدا کروں

یاں تو یہ عادت ہے کس کس کا کرے گا تو علاج

روز بیماری سے میں دو چار اگر پیدا کروں

یہ تغافل وصل کی شب پوچھتے ہیں میرا حال

اب دعائیں مانگ کر درد جگر پیدا کروں

آنکھ اٹھا کر جس طرف دیکھوں وہی آئے نظر

آنکھ وہ پیدا کروں اور وہ نظر پیدا کروں

فکر سے ایذاؤں کی الٹی سنا جائے ہیں غیر

ایسا دل پیدا کروں اور وہ جگر پیدا کروں

جو تمہیں منظور ہے وہ کہہ نہ دو کیوں چپ رہو

پھر خطا میری کوئی حجت اگر پیدا کروں

تیری فرقت میں گوارا کر سکوں گا کس طرح

کس کا دل لاؤں کہاں سے یہ جگر پیدا کروں

ہائے دل رنجش کا صدمہ ایک دم اٹھتا نہیں

خود منائیں وہ میں اتنی بات گر پیدا کروں

کچھ رکا دیکھا جو مجھ کو تو سنا کر یہ کہا

یہ تو اچھی ٹھہری اب لوگوں کا ڈر پیدا کروں

میں ہی ہوں مجھ سا اگر ڈھونڈو جہاں میں مبتلا

تو ہی ہو تجھ سا حسیں دنیا میں گر پیدا کروں

اچھا اچھا در کو کر لو بند مجھ کو دیکھ کر

سر کو ٹکراؤں ابھی دیوار و در پیدا کروں

سب کچھ آتا ہے مگر یاں عقل حیراں ہے مری

تیرے دل میں رہ کیوں کر فتنہ گر پیدا کروں

اب تری جھوٹی لگاوٹ میں نہ آؤں گا کبھی

مفت ایذا پاؤں ناحق درد سر پیدا کروں

کہتے ہیں کیا تجھ پہ گزری تھی مرے جانے کے بعد

کیا بتاؤں کیسے وہ وقت سحر پیدا کروں

کیوں نظامؔ اس وقت تو تم مان جاؤ گے مجھے

دوستی اس دشمن جاں سے اگر پیدا کروں

نظام رامپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jab To Main Hun Aah Mein Aisa Asar Paida Karun

Nizam Rampuri

jab to main hun aah mein aisa asar paida karun
ai sitamgar tere dil mein apna ghar paida karun

yan to ye aadat hai kis kis ka karega tu ilaj
roz bimari se main do chaar agar paida karun

ye taghaful wasl ki shab puchhte hain mera haal
ab duaen mang kar dard-e-jigar paida karun

aankh uTha kar jis taraf dekhun wahi aae nazar
aankh wo paida karun aur wo nazar paida karun

fikr se izaon ki ulTi suna jae hain ghair
aisa dil paida karun aur wo jigar paida karun

jo tumhein manzur hai wo kah na do kyun chup raho
phir KHata meri koi hujjat agar paida karun

teri furqat main gawara kar sakunga kis tarah
kis ka dil laun kahan se ye jigar paida karun

hae dil ranjish ka sadma ek-dam uThta nahin
KHud manaen wo main itni baat gar paida karun

kuchh ruka dekha jo mujh ko to suna kar ye kaha
ye to achchhi Thahri ab logon ka Dar paida karun

main hi hun mujh sa agar DhunDo jahan mein mubtala
tu hi ho tujh sa hasin duniya mein gar paida karun

achchha achchha dar ko kar lo band mujh ko dekh kar
sar ko Takraun abhi diwar-o-dar paida karun

sab kuchh aata hai magar yan aql hairan hai meri
tere dil mein rah kyun-kar fitnagar paida karun

ab teri jhuTi lagawaT mein na aaunga kabhi
muft iza paun nahaq dard-e-sar paida karun

kahte hain kya tujh pe guzri thi mere jaane ke baad
kya bataun kaise wo waqt-e-sahar paida karun

kyun 'nizam' us waqt to tum man jaoge mujhe
dosti us dushman-e-jaan se agar paida karun

(380) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jab To Main Hun Aah Mein Aisa Asar Paida Karun written by Nizam Rampuri at UrduPoint. Jab To Main Hun Aah Mein Aisa Asar Paida Karun is one of the masterpieces written by Nizam Rampuri. You can also find the complete poetry collection of Nizam Rampuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nizam Rampuri' above.

Jab To Main Hun Aah Mein Aisa Asar Paida Karun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jab To Main Hun Aah Mein Aisa Asar Paida Karun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.