Gardish-e-saghar Subu Ke Darmiyan, Urdu Ghazal By Noon Meem Danish

Gardish-e-saghar Subu Ke Darmiyan is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Noon Meem Danish. Gardish-e-saghar Subu Ke Darmiyan comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Gardish-e-saghar Subu Ke Darmiyan on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گردش ساغر سبو کے درمیاں

ن م دانش

گردش ساغر سبو کے درمیاں

زندگی ہے ہاؤ ہو کے درمیاں

زخم اور پوشاک بھی رکھے گئے

آئنہ اور آب جو کے درمیاں

تیسرا رستہ کدھر کو جائے ہے

آرزو اور جستجو کے درمیاں

کتنی بے معنی سی ہے یہ زندگی

خاموشی اور گفتگو کے درمیاں

زندگی ترجیح کس کو دیتی ہے

سبز رو اور خوش گلو کے درمیاں

یاد کی اک اجنبی پرچھائیں ہے

رنگ و بو و کاخ و کو کے درمیاں

وقت سے بچ کر نکل جاؤں کہیں

ایک در ہے چار سو کے درمیاں

میرا چہرہ دوسروں سے مختلف

فرق ہے کیا یہ لہو کے درمیاں

ن م دانش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gardish-e-saghar Subu Ke Darmiyan

Noon Meem Danish

gardish-e-saghar subu ke darmiyan
zindagi hai hao-hu ke darmiyan

zaKHm aur poshak bhi rakkhe gae
aaina aur aab-ju ke darmiyan

tisra rasta kidhar ko jae hai
aarzu aur justuju ke darmiyan

kitni be-mani si hai ye zindagi
KHamoshi aur guftugu ke darmiyan

zindagi tarjih kis ko deti hai
sabz-ru aur KHush-gulu ke darmiyan

yaad ki ek ajnabi parchhain hai
rang-o-bu-o-kaKH-o-ku ke darmiyan

waqt se bach kar nikal jaun kahin
ek dar hai chaar su ke darmiyan

mera chehra dusron se muKHtalif
farq hai kya ye lahu ke darmiyan

(526) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Gardish-e-saghar Subu Ke Darmiyan written by Noon Meem Danish at UrduPoint. Gardish-e-saghar Subu Ke Darmiyan is one of the masterpieces written by Noon Meem Danish. You can also find the complete poetry collection of Noon Meem Danish by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Noon Meem Danish' above.

Gardish-e-saghar Subu Ke Darmiyan is a widely read Urdu Ghazal. If you like Gardish-e-saghar Subu Ke Darmiyan, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.