Kyun Shahr Mein Har-samt Se UThta Hai Dhuan Dekh, Urdu Ghazal By Noor Muneeri

Kyun Shahr Mein Har-samt Se UThta Hai Dhuan Dekh is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Noor Muneeri. Kyun Shahr Mein Har-samt Se UThta Hai Dhuan Dekh comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kyun Shahr Mein Har-samt Se UThta Hai Dhuan Dekh on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کیوں شہر میں ہر سمت سے اٹھتا ہے دھواں دیکھ

نور منیری

کیوں شہر میں ہر سمت سے اٹھتا ہے دھواں دیکھ

کیا حال محلے کا ہے جا اپنا مکاں دیکھ

آفاق اڑانوں کے ابھی اور بہت ہیں

اے طائر پرواز کبھی اپنا جہاں دیکھ

دیتا نہیں نفرت کا شجر دھوپ میں سایہ

بہتر ہے کوئی سایۂ دیوار اماں دیکھ

آکاش یہ تاروں کی ضیا دیکھنے والے

اگلے ہے زمیں چاند بھی سورج بھی یہاں دیکھ

لگتا ہے کوئی تیر جگر چیر کے نکلے

لچکے ہے ستم گر ترے ابرو کی کماں دیکھ

کیوں کہتے ہیں سب مجھ کو بزرگ آپ بزرگ آپ

آ تو بھی مرے ماتھے پہ سجدوں کے نشاں دیکھ

کہنا ہی پڑا نورؔ کے اشعار کو سن کر

کیا خوب ہے ظالم کا بھی انداز بیاں دیکھ

نور منیری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kyun Shahr Mein Har-samt Se UThta Hai Dhuan Dekh

Noor Muneeri

kyun shahr mein har-samt se uThta hai dhuan dekh
kya haal mohalle ka hai ja apna makan dekh

aafaq uDanon ke abhi aur bahut hain
ai tair-e-parwaz kabhi apna jahan dekh

deta nahin nafrat ka shajar dhup mein saya
behtar hai koi saya-e-diwar aman dekh

aakash ye taron ki ziya dekhne wale
agle hai zamin chand bhi suraj bhi yahan dekh

lagta hai koi tir jigar chir ke nikle
lachke hai sitamgar tere abru ki kaman dekh

kyun kahte hain sab mujh ko buzurg aap buzurg aap
aa tu bhi mere mathe pe sajdon ke nishan dekh

kahna hi paDa 'nur' ke ashaar ko sun kar
kya KHub hai zalim ka bhi andaz-e-bayan dekh

(558) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kyun Shahr Mein Har-samt Se UThta Hai Dhuan Dekh written by Noor Muneeri at UrduPoint. Kyun Shahr Mein Har-samt Se UThta Hai Dhuan Dekh is one of the masterpieces written by Noor Muneeri. You can also find the complete poetry collection of Noor Muneeri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Noor Muneeri' above.

Kyun Shahr Mein Har-samt Se UThta Hai Dhuan Dekh is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kyun Shahr Mein Har-samt Se UThta Hai Dhuan Dekh, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.