Athar-nafis Ke Liye, Urdu Nazam By Noor Parkar

Athar-nafis Ke Liye is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Noor Parkar. Athar-nafis Ke Liye comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Athar-nafis Ke Liye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اطہرؔ نفیس کے لئے

نور پرکار

میرا غم معتبر تھا

تکلف کی قبا نوچ کر جس نے

معصوم رنگ آتشیں بھرا تھا

تخلیق کے بند جذبوں کو

اخلاق کے ہاتھوں پر دھرا تھا

زندگی جس کے لئے

دار تھی

کوئے دل دار بھی

روح کی تفسیر بھی

رنگ حنا کی تنویر بھی

برداشت جس نے کی

آرزوؤں کی تضحیک بھی

مقدس جذبات کی تذلیل بھی

لبوں پر جس کے

کتنے اعتراضات تھے

نہاں جس کے دل میں

کتنے اعتراضات تھے

کچھ سطور

کچھ سطور کے درمیاں بھی تھا

کہیں تحریک

کہیں ٹھہراؤ کا سماں بھی تھا

کہیں خواب

کہیں خوابوں کا صورت گر بھی تھا

ہم اور تم جسے نہ جان سکے

اس کے خوابوں کو نہ پہچان سکے

نور پرکار

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Athar-nafis Ke Liye

Noor Parkar

mera gham mo'atabar tha
takalluf ki qaba noch kar jis ne
masum rang-e-atshin bhara tha
taKHliq ke band jazbon ko
aKHlaq ke hathon par dhara tha
zindagi jis ke liye
dar thi
ku-e-dildar bhi
ruh ki tafsir bhi
rang-e-hina ki tanwir bhi
bardasht jis ne ki
aarzuon ki tazhik bhi
muqaddas jazbaat ki tazlil bhi
labon par jis ke
kitne etaraazat the
nihan jis ke dil mein
kitne etaraazat the
kuchh sutur
kuchh sutur ke darmiyan bhi tha
kahin tahrik
kahin Thahraw ka saman bhi tha
kahin KHwab
kahin KHwabon ka surat-gar bhi tha
hum aur tum jise na jaan sake
us ke KHwabon ko na pahchan sake

(475) ووٹ وصول ہوئے

You can read Athar-nafis Ke Liye written by Noor Parkar at UrduPoint. Athar-nafis Ke Liye is one of the masterpieces written by Noor Parkar. You can also find the complete poetry collection of Noor Parkar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Noor Parkar' above.

Athar-nafis Ke Liye is a widely read Urdu Nazam. If you like Athar-nafis Ke Liye, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.