Jism-o-jaan Ka Safar, Urdu Nazam By Noor Parkar

Jism-o-jaan Ka Safar is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Noor Parkar. Jism-o-jaan Ka Safar comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Jism-o-jaan Ka Safar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جسم و جاں کا سفر

نور پرکار

تم

مجھے یوں ہی رہنے دو

میری آہوں کو

ہوا کے دوش پر

یوں ہی بہنے دو

لفظ تو وہ بھی نہیں

لفظ تو میں بھی نہیں

یہاں لفظ تو کوئی بھی نہیں

مگر ہم دونوں میں کوئی فاصلہ بھی نہیں

نہ جانے کون ہے وہ

جو گئی رات تک

میرے اندر جاگتا ہے

انگ انگ میں بولتا

نس نس میں ڈولتا ہے

لہو لہو چیختا ہے

جسم و جاں کا یہ سفر کتنا دشوار ہے

مجھے

دن کے بازار سے خریدے ہوئے

اس ابن آدم کی جستجو ہے

جو بے نشاں راستو پر

مجھے قتل کر دے

مجھے اس حادثے کی تلاش ہے

جو مجھے ابھی ختم کر دے

یا پھر

میری روح کی اذاں کا

کوئی تعاقب کرے

دعاؤں کی تفسیر میں

پل پل نظریں بچھائے

وفا کی آگ سے روشن

چراغ طور لیے

کسی دیوار کے لب سے کوئی نغمہ سنائے

ہمہ وقت محبت جتائے

لیکن میں تو

اس صدی کے قرض کا سود ہوں

جس کی ادائیگی ممکن نہ ہو سکے گی

نہ رک سکے گی پگھلتی موم جسموں کی

نہ کھنکے گی چوڑی نہ گلی جاگے گی

تمہارے آنگن سے

اتری ہوئی دھوپ

میرے آنگن تک کو پہنچی ہے

لیکن مجھے یقین ہے

کہ وہ پھر فضاؤں میں کھو جائے گی

اک دن سناٹے میں ڈوب جائے گی

نور پرکار

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jism-o-jaan Ka Safar

Noor Parkar

tum
mujhe yunhi rahne do
meri aahon ko
hawa ke dosh par
yunhi bahne do
lafz to wo bhi nahin
lafz to main bhi nahin
yahan lafz to koi bhi nahin
magar hum donon mein koi fasla bhi nahin
na jaane kaun hai wo
jo gai raat tak
mere andar jagta hai
ang ang mein bolta
nas nas mein Dolta hai
lahu lahu chiKHta hai
jism-o-jaan ka ye safar kitna dushwar hai
mujhe
din ke bazar se KHaride hue
is ibn-e-adam ki justuju hai
jo be-nishan rasto par
mujhe qatl kar de
mujhe us hadse ki talash hai
jo mujhe abhi KHatm kar de
ya phir
meri ruh ki azan ka
koi taaqub kare
duaon ki tafsir mein
pal pal nazren bichhae
wafa ki aag se raushan
charagh-e-tur liye
kisi diwar ke lab se koi naghma sunae
hama-waqt mohabbat jatae
lekin main to
us sadi ke qarz ka sud hun
jis ki adaegi mumkin na ho sakegi
na ruk sakegi pighalti mom jismon ki
na khankegi chuDi na gali jagegi
tumhaare aangan se
utri hui dhup
mere aangan tak ko pahunchi hai
lekin mujhe yaqin hai
ki wo phir fazaon mein kho jaegi
ek din sannaTe mein Dub jaegi

(444) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jism-o-jaan Ka Safar written by Noor Parkar at UrduPoint. Jism-o-jaan Ka Safar is one of the masterpieces written by Noor Parkar. You can also find the complete poetry collection of Noor Parkar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Noor Parkar' above.

Jism-o-jaan Ka Safar is a widely read Urdu Nazam. If you like Jism-o-jaan Ka Safar, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.