Sone Ke Lab Chandi Ke Chehron Mein JaDe Hain, Urdu Ghazal By Noor Taqi Noor

Sone Ke Lab Chandi Ke Chehron Mein JaDe Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Noor Taqi Noor. Sone Ke Lab Chandi Ke Chehron Mein JaDe Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sone Ke Lab Chandi Ke Chehron Mein JaDe Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سونے کے لب چاندی کے چہروں میں جڑے ہیں

نور تقی نور

سونے کے لب چاندی کے چہروں میں جڑے ہیں

ان سے بات نہ کرنا تم یہ لوگ بڑے ہیں

طوفانوں میں چلنا تو مشکل ہے لیکن

یہ ہمت بھی کیا کم ہے کچھ لوگ کھڑے ہیں

یہ اب کیا ڈھونڈ رہے ہو ان خالی آنکھوں میں

یہ گوشے تو برسوں سے ویران پڑے ہیں

کیسی کیسی انہونی باتیں ہوتی ہیں

کیسے کیسے دنیا نے الزام گڑھے ہیں

میز کتابیں کمرہ خط تصویر رسالے

ہم کیا چپ ہیں سب کے سب خاموش پڑے ہیں

نورؔ انہیں بھی اذن ملے کچھ آزادی کا

جو صدیوں سے جسموں کے جنگل میں پڑے ہیں

نور تقی نور

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sone Ke Lab Chandi Ke Chehron Mein JaDe Hain

Noor Taqi Noor

sone ke lab chandi ke chehron mein jaDe hain
un se baat na karna tum ye log baDe hain

tufanon mein chalna to mushkil hai lekin
ye himmat bhi kya kam hai kuchh log khaDe hain

ye ab kya DhunD rahe ho in KHali aankhon mein
ye goshe to barson se viran paDe hain

kaisi kaisi anhoni baaten hoti hain
kaise kaise duniya ne ilzam gaDhe hain

mez kitaben kamra KHat taswir risale
hum kya chup hain sab ke sab KHamosh paDe hain

'nur' unhen bhi izn mile kuchh aazadi ka
jo sadiyon se jismon ke jangal mein paDe hain

(312) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sone Ke Lab Chandi Ke Chehron Mein JaDe Hain written by Noor Taqi Noor at UrduPoint. Sone Ke Lab Chandi Ke Chehron Mein JaDe Hain is one of the masterpieces written by Noor Taqi Noor. You can also find the complete poetry collection of Noor Taqi Noor by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Noor Taqi Noor' above.

Sone Ke Lab Chandi Ke Chehron Mein JaDe Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sone Ke Lab Chandi Ke Chehron Mein JaDe Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.