Hairat-o-KHauf Ke Mehwar Se Nikal PaDte Hain, Urdu Ghazal By Noorul Ain Qaisar Qasmi

Hairat-o-KHauf Ke Mehwar Se Nikal PaDte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Noorul Ain Qaisar Qasmi. Hairat-o-KHauf Ke Mehwar Se Nikal PaDte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hairat-o-KHauf Ke Mehwar Se Nikal PaDte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

حیرت و خوف کے محور سے نکل پڑتے ہیں

نور العین قیصر قاسمی

حیرت و خوف کے محور سے نکل پڑتے ہیں

آؤ آسیب زدہ گھر سے نکل پڑتے ہیں

جسم کو اور سمیٹوں تو رگ جاں رک جائے

پاؤں پھیلاؤں تو چادر سے نکل پڑتے ہیں

وہ کیا کرتا ہے بندوں کی حفاظت یوں بھی

راستے بیچ سمندر سے نکل پڑتے ہیں

صبر مظلوم کا جب حد سے گزرتا ہے تو پھر

وار ٹوٹے ہوئے خنجر سے نکل پڑتے ہیں

جب میں کہتا ہوں غزل سامنے اس کے قیصر

مضمحل لفظ بھی بستر سے نکل پڑتے ہیں

نور العین قیصر قاسمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hairat-o-KHauf Ke Mehwar Se Nikal PaDte Hain

Noorul Ain Qaisar Qasmi

hairat-o-KHauf ke mehwar se nikal paDte hain
aao aaseb-zada ghar se nikal paDte hain

jism ko aur sameTun to rag-e-jaan ruk jae
panw phailaun to chadar se nikal paDte hain

wo kiya karta hai bandon ki hifazat yun bhi
raste beach samundar se nikal paDte hain

sabr mazlum ka jab had se guzarta hai to phir
war TuTe hue KHanjar se nikal paDte hain

jab main kahta hun ghazal samne us ke qaisar
muzmahil lafz bhi bistar se nikal paDte hain

(483) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hairat-o-KHauf Ke Mehwar Se Nikal PaDte Hain written by Noorul Ain Qaisar Qasmi at UrduPoint. Hairat-o-KHauf Ke Mehwar Se Nikal PaDte Hain is one of the masterpieces written by Noorul Ain Qaisar Qasmi. You can also find the complete poetry collection of Noorul Ain Qaisar Qasmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Noorul Ain Qaisar Qasmi' above.

Hairat-o-KHauf Ke Mehwar Se Nikal PaDte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hairat-o-KHauf Ke Mehwar Se Nikal PaDte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.