Diya Saqi Ne Awwal Rose Wo Paimana Masti Mein, Urdu Ghazal By Nushur Wahidi

Diya Saqi Ne Awwal Rose Wo Paimana Masti Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nushur Wahidi. Diya Saqi Ne Awwal Rose Wo Paimana Masti Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Diya Saqi Ne Awwal Rose Wo Paimana Masti Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دیا ساقی نے اول روز وہ پیمانہ مستی میں

نشور واحدی

دیا ساقی نے اول روز وہ پیمانہ مستی میں

کہ میں نا آشنا پی کر ہوا دیوانہ مستی میں

شراب آتشیں وہ ہے کہ دو اک گھونٹ پیتے ہی

جو ساقی ہو تو آتا ہے نظر پیمانہ مستی میں

نظر آتا ہے مجھ کو بوریا بھی تخت طاؤسی

گدا رکھتا ہے گویا شوکت شاہانہ مستی میں

کوئی کہتا ہے مسجد ہے کوئی کہتا ہے باہر جا

الٰہی کیا میں بھولا ہوں رہ مے خانہ مستی میں

نشہ تھا مجھ کو اور یاروں نے چاہا چھین لیں بوتل

مگر کام آ گئی کچھ جرأت رندانہ مستی میں

خبر کیا تھی واعظ ہے یہی سمجھا کہ ساقی ہے

اٹھا اور اٹھ کے جا لپٹا میں بیتابانہ مستی میں

مری پوجا تھی کیف انگیز نظروں کی پرستاری

مرا سجدہ تھا پیش ابروئے جانانہ مستی میں

قدم رکھتا کہیں ہوں اور پڑتا ہے کہیں جا کر

نشورؔ اس وقت ہوں کچھ ہوش سے بیگانہ مستی میں

نشور واحدی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Diya Saqi Ne Awwal Rose Wo Paimana Masti Mein

Nushur Wahidi

diya saqi ne awwal roz wo paimana masti mein
ki main na-ashna pi kar hua diwana masti mein

sharab-e-atishin wo hai ki do ek ghunT pite hi
jo saqi ho to aata hai nazar paimana masti mein

nazar aata hai mujh ko boriya bhi taKHt-e-tausi
gada rakhta hai goya shaukat-e-shahana masti mein

koi kahta hai masjid hai koi kahta hai bahar ja
ilahi kya main bhula hun rah-e-mai-KHana masti mein

nasha tha mujh ko aur yaron ne chaha chhin len botal
magar kaam aa gai kuchh jurat-e-rindana masti mein

KHabar kya thi waiz hai yahi samjha ki saqi hai
uTha aur uTh ke ja lipTa main betabana masti mein

meri puja thi kaif-angez nazron ki parastari
mera sajda tha pesh-abru-e-jaanana masti mein

qadam rakhta kahin hun aur paDta hai kahin ja kar
'nushur' is waqt hun kuchh hosh se begana masti mein

(370) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Diya Saqi Ne Awwal Rose Wo Paimana Masti Mein written by Nushur Wahidi at UrduPoint. Diya Saqi Ne Awwal Rose Wo Paimana Masti Mein is one of the masterpieces written by Nushur Wahidi. You can also find the complete poetry collection of Nushur Wahidi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nushur Wahidi' above.

Diya Saqi Ne Awwal Rose Wo Paimana Masti Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Diya Saqi Ne Awwal Rose Wo Paimana Masti Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.