Har Taraf Nala-o-fariyaad Ke Manzar Dekhen, Urdu Ghazal By Obaid Haris

Har Taraf Nala-o-fariyaad Ke Manzar Dekhen is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Obaid Haris. Har Taraf Nala-o-fariyaad Ke Manzar Dekhen comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Har Taraf Nala-o-fariyaad Ke Manzar Dekhen on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہر طرف نالہ و فریاد کے منظر دیکھیں

عبید حارث

ہر طرف نالہ و فریاد کے منظر دیکھیں

تجھ کو دیکھیں کہ ترا شہر ستم گر دیکھیں

دور سے وہ نظر آئے گا بس اک سائے سا

اس کو دیکھیں تو ذرا پاس بلا کر دیکھیں

چاند سورج نہ ستارے ہیں ہمارے بس میں

ایک مٹی کا دیا ہے سو جلا کر دیکھیں

ہم بدل سکتے ہیں خود کو یہ بڑی بات نہیں

شرط اتنی ہے کہ باہر نہیں اندر دیکھیں

موم سا اس کا بدن ہے یہی کہتے ہیں سب

جی میں آتا ہے چلو آج اسے چھو کر دیکھیں

آج اخبار میں آئی ہے غزل حارثؔ کی

آدمی خوب ہے کیسا ہے سخنور دیکھیں

عبید حارث

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Har Taraf Nala-o-fariyaad Ke Manzar Dekhen

Obaid Haris

har taraf nala-o-fariyaad ke manzar dekhen
tujh ko dekhen ki tera shahr-e-sitamgar dekhen

dur se wo nazar aaega bas ek sae sa
us ko dekhen to zara pas bula kar dekhen

chand suraj na sitare hain hamare bas mein
ek miTTi ka diya hai so jala kar dekhen

hum badal sakte hain KHud ko ye baDi baat nahin
shart itni hai ki bahar nahin andar dekhen

mom sa us ka badan hai yahi kahte hain sab
ji mein aata hai chalo aaj use chhu kar dekhen

aaj aKHbar mein aai hai ghazal 'haaris' ki
aadmi KHub hai kaisa hai suKHnawar dekhen

(531) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Har Taraf Nala-o-fariyaad Ke Manzar Dekhen written by Obaid Haris at UrduPoint. Har Taraf Nala-o-fariyaad Ke Manzar Dekhen is one of the masterpieces written by Obaid Haris. You can also find the complete poetry collection of Obaid Haris by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Obaid Haris' above.

Har Taraf Nala-o-fariyaad Ke Manzar Dekhen is a widely read Urdu Ghazal. If you like Har Taraf Nala-o-fariyaad Ke Manzar Dekhen, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.