Pahle Chingari Se Ek Shola Banata Hai Mujhe, Urdu Ghazal By Obaidullah Siddiqui

Pahle Chingari Se Ek Shola Banata Hai Mujhe is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Obaidullah Siddiqui. Pahle Chingari Se Ek Shola Banata Hai Mujhe comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Pahle Chingari Se Ek Shola Banata Hai Mujhe on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پہلے چنگاری سے اک شعلہ بناتا ہے مجھے

عبید اللہ صدیقی

پہلے چنگاری سے اک شعلہ بناتا ہے مجھے

پھر وہی تیز ہواؤں سے ڈراتا ہے مجھے

بین کرتے ہوئے اس رات کے سناٹے میں

دشت سے گھر کی طرف کون بلاتا ہے مجھے

گرد ہوتے ہوئے چہرے سے ملانے کے لیے

آئنہ خانے میں کوئی لئے جاتا ہے مجھے

شام ہوتی ہے تو میرا ہی فسانہ اکثر

وہ جو ٹوٹا ہوا تارا ہے سناتا ہے مجھے

ریگ صحرا سے تعلق کو بڑھا دیتا ہے

خواب میں جب بھی وہ دریا نظر آتا ہے مجھے

عبید اللہ صدیقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Pahle Chingari Se Ek Shola Banata Hai Mujhe

Obaidullah Siddiqui

pahle chingari se ek shola banata hai mujhe
phir wahi tez hawaon se Daraata hai mujhe

bain karte hue is raat ke sannaTe mein
dasht se ghar ki taraf kaun bulata hai mujhe

gard hote hue chehre se milane ke liye
aaina-KHane mein koi liye jaata hai mujhe

sham hoti hai to mera hi fasana aksar
wo jo TuTa hua tara hai sunata hai mujhe

reg-e-sahra se talluq ko baDha deta hai
KHwab mein jab bhi wo dariya nazar aata hai mujhe

(475) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Pahle Chingari Se Ek Shola Banata Hai Mujhe written by Obaidullah Siddiqui at UrduPoint. Pahle Chingari Se Ek Shola Banata Hai Mujhe is one of the masterpieces written by Obaidullah Siddiqui. You can also find the complete poetry collection of Obaidullah Siddiqui by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Obaidullah Siddiqui' above.

Pahle Chingari Se Ek Shola Banata Hai Mujhe is a widely read Urdu Ghazal. If you like Pahle Chingari Se Ek Shola Banata Hai Mujhe, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.