Har Ek ShaKHs Ke Apne Tasawwur Aur Guman Tak Hai, Urdu Ghazal By Om Prakash Laghar

Har Ek ShaKHs Ke Apne Tasawwur Aur Guman Tak Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Om Prakash Laghar. Har Ek ShaKHs Ke Apne Tasawwur Aur Guman Tak Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Har Ek ShaKHs Ke Apne Tasawwur Aur Guman Tak Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہر اک شخص کے اپنے تصور اور گماں تک ہے

اوم پرکاش لاغر

ہر اک شخص کے اپنے تصور اور گماں تک ہے

کسے معلوم ہے ورنہ حد عرفاں کہاں تک ہے

ہمیں تو دیکھنا ہے ہمت و جرأت کہاں تک ہے

ہماری زندگی ورنہ فقط ضبط فغاں تک ہے

جنون عشق میں آہ و فغاں شکوہ گلہ کیسا

اگر ہے بھی تو وہ آخر ہمارے مہرباں تک ہے

جنوں کی وسعتوں کا کوئی اندازہ نہ کر پایا

رسائی عقل انساں کی فقط سود و زیاں تک ہے

قدم چلنے سے قاصر ہیں اندھیری رات ہے سر پر

بتا دے کاش یہ کوئی مجھے چلنا کہاں تک ہے

کسی بھی آستاں پر اب خودی جانے نہیں دیتی

ہماری التجا تو مالک کون و مکاں تک ہے

ہمیشہ اہل دل ہی وقت کے دھارے بدلتے ہیں

جو بزدل ہیں رسائی ان کی بس آہ و فغاں تک ہے

پس مردن کوئی بھی نام تک ان کا نہیں لیتا

جو سمجھے تھے ہمارا تذکرہ رہتے جہاں تک ہے

بہار گلستاں تو ہے خدا کے ہاتھ اے لاغرؔ

بس اک فرض نگہبانی نگاہ باغباں تک ہے

اوم پرکاش لاغر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Har Ek ShaKHs Ke Apne Tasawwur Aur Guman Tak Hai

Om Prakash Laghar

har ek shaKHs ke apne tasawwur aur guman tak hai
kise malum hai warna had-e-irfan kahan tak hai

hamein to dekhna hai himmat-o-jurat kahan tak hai
hamari zindagi warna faqat zabt-e-fughan tak hai

junun-e-ishq mein aah-o-fughan shikwa gila kaisa
agar hai bhi to wo aaKHir hamare mehrban tak hai

junun ki wusaton ka koi andaza na kar paya
rasai aql-e-insan ki faqat sud-o-ziyan tak hai

qadam chalne se qasir hain andheri raat hai sar par
bata de kash ye koi mujhe chalna kahan tak hai

kisi bhi aastan par ab KHudi jaane nahin deti
hamari iltija to malik-e-kaun-o-makan tak hai

hamesha ahl-e-dil hi waqt ke dhaare badalte hain
jo buzdil hain rasai un ki bas aah-o-fughan tak hai

pas-e-murdan koi bhi nam tak un ka nahin leta
jo samjhe the hamara tazkira rahte jahan tak hai

bahaar-e-gulsitan to hai KHuda ke hath ai 'laghar'
bas ek farz-e-nigahbani nigah-e-baghban tak hai

(432) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Har Ek ShaKHs Ke Apne Tasawwur Aur Guman Tak Hai written by Om Prakash Laghar at UrduPoint. Har Ek ShaKHs Ke Apne Tasawwur Aur Guman Tak Hai is one of the masterpieces written by Om Prakash Laghar. You can also find the complete poetry collection of Om Prakash Laghar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Om Prakash Laghar' above.

Har Ek ShaKHs Ke Apne Tasawwur Aur Guman Tak Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Har Ek ShaKHs Ke Apne Tasawwur Aur Guman Tak Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.