Husn Ki Ek Chingari Ne Kya KHub Lagai Ishq Ki Aag, Urdu Ghazal By Parveen Sultana Saba

Husn Ki Ek Chingari Ne Kya KHub Lagai Ishq Ki Aag is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Parveen Sultana Saba. Husn Ki Ek Chingari Ne Kya KHub Lagai Ishq Ki Aag comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Husn Ki Ek Chingari Ne Kya KHub Lagai Ishq Ki Aag on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

حسن کی اک چنگاری نے کیا خوب لگائی عشق کی آگ

پروین سلطانہ صباؔ

حسن کی اک چنگاری نے کیا خوب لگائی عشق کی آگ

رخ پر زلف کا جھونکا آیا اور لہرائی عشق کی آگ

آنکھ سے نکلی اک دستک نے دل دروازہ کھول دیا

پیار کا اک گلدستہ تھامے ملنے آئی عشق کی آگ

ساتھ میں جینا ساتھ میں مرنا رشتہ اپنی صدیوں کا

ہمجولی ہو اپنی جیسے یا ماں جائی عشق کی آگ

پیر میں چکر ہاتھ میں کاسہ دل والوں کی بستی میں

پیار کی دولت لینے نکلے ہاتھ میں آئی عشق کی آگ

ہجر کے تپتے صحرا میں اک یاد کے گھونٹ سے دم آیا

بالکل جان نکلنے کو تھی جب پہنچائی عشق کی آگ

اس ظالم کی نظروں میں کچھ جادو جیسی بات تو تھی

پہلے پیار کا روپ سجایا پھر سلگائی عشق کی آگ

ہجر کے ہاتھوں دل کی زمیں پر ناگ پھنی جب کاشت ہوئے

ہم نے یاد کی کلیاں سونگھیں اور مہکائی عشق کی آگ

دنیا بھر کی نہریں دریا اور سمندر سوکھ گئے

سوہنی اپنے کچے گھڑے میں جب بھر لائی عشق کی آگ

یوں تو صباؔ ہم ہر موسم میں آگ میں زندہ جلتے ہیں

ساون کی رت نے لیکن کھل کر برسائی عشق کی آگ

پروین سلطانہ صباؔ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Husn Ki Ek Chingari Ne Kya KHub Lagai Ishq Ki Aag

Parveen Sultana Saba

husn ki ek chingari ne kya KHub lagai ishq ki aag
ruKH par zulf ka jhonka aaya aur lahrai ishq ki aag

aankh se nikli ek dastak ne dil darwaza khol diya
pyar ka ek guldasta thame milne aai ishq ki aag

sath mein jina sath mein marna rishta apni sadiyon ka
ham-joli ho apni jaise ya man-jai ishq ki aag

pair mein chakkar hath mein kasa dil walon ki basti mein
pyar ki daulat lene nikle hath mein aai ishq ki aag

hijr ke tapte sahra mein ek yaad ke ghunT se dam aaya
bilkul jaan nikalne ko thi jab pahunchai ishq ki aag

us zalim ki nazron mein kuchh jadu jaisi baat to thi
pahle pyar ka rup sajaya phir sulgai ishq ki aag

hijr ke hathon dil ki zamin par nag-phani jab kasht hue
hum ne yaad ki kaliyan sunghin aur mahkai ishq ki aag

duniya bhar ki nahren dariya aur samundar sukh gae
sohni apne kachche ghaDe mein jab bhar lai ishq ki aag

yun to 'saba' hum har mausam mein aag mein zinda jalte hain
sawan ki rut ne lekin khul kar barsai ishq ki aag

(684) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Husn Ki Ek Chingari Ne Kya KHub Lagai Ishq Ki Aag written by Parveen Sultana Saba at UrduPoint. Husn Ki Ek Chingari Ne Kya KHub Lagai Ishq Ki Aag is one of the masterpieces written by Parveen Sultana Saba. You can also find the complete poetry collection of Parveen Sultana Saba by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Parveen Sultana Saba' above.

Husn Ki Ek Chingari Ne Kya KHub Lagai Ishq Ki Aag is a widely read Urdu Ghazal. If you like Husn Ki Ek Chingari Ne Kya KHub Lagai Ishq Ki Aag, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.