Asar Kiya Lab-e-KHamosh Ne Zaban Ki Tarah, Urdu Ghazal By Prem Rangpuri

Asar Kiya Lab-e-KHamosh Ne Zaban Ki Tarah is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Prem Rangpuri. Asar Kiya Lab-e-KHamosh Ne Zaban Ki Tarah comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Asar Kiya Lab-e-KHamosh Ne Zaban Ki Tarah on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اثر کیا لب خاموش نے زباں کی طرح

پریم رنگ پوری

اثر کیا لب خاموش نے زباں کی طرح

بکھر گیا مرا ہر اشک داستاں کی طرح

کئے ہیں تو نے ستم جور آسماں کی طرح

جو امتحان لئے مجھ سے امتحاں کی طرح

کہاں ٹھکانہ بناؤں گا اپنا اے صیاد

قفس بھی راس نہ آیا جو آشیاں کی طرح

شب وصال ہے جی بھر کے مسکرانے دو

بہار آئی چمن میں مرے خزاں کی طرح

مری تو گردش پا ہے ازل سے قسمت میں

زمیں بھی گھومتی ہے دور آسماں کی طرح

کہیں پہ منزل عاشق سفر میں خود تو نہیں

نظر میں رہتی ہے کیوں بحر‌ بیکراں کی طرح

کہوں تو کیسے کہوں ان سے حال دل اے پریمؔ

زبان رکھتا ہوں جب اپنی بے زباں کی طرح

پریم رنگ پوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Asar Kiya Lab-e-KHamosh Ne Zaban Ki Tarah

Prem Rangpuri

asar kiya lab-e-KHamosh ne zaban ki tarah
bikhar gaya mera har ashk dastan ki tarah

kiye hain tu ne sitam jaur-e-asman ki tarah
jo imtihan liye mujh se imtihan ki tarah

kahan Thikana banaunga apna ai sayyaad
qafas bhi ras na aaya jo aashiyan ki tarah

shab-e-visal hai ji bhar ke muskurane do
bahaar aai chaman mein mere KHizan ki tarah

meri to gardish-e-pa hai azal se qismat mein
zamin bhi ghumti hai daur-e-asman ki tarah

kahin pe manzil-e-ashiq safar mein KHud to nahin
nazar mein rahti hai kyon bahr-e-bekaran ki tarah

kahun to kaise kahun un se haal-e-dil ai 'prem'
zaban rakhta hun jab apni be-zaban ki tarah

(534) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Asar Kiya Lab-e-KHamosh Ne Zaban Ki Tarah written by Prem Rangpuri at UrduPoint. Asar Kiya Lab-e-KHamosh Ne Zaban Ki Tarah is one of the masterpieces written by Prem Rangpuri. You can also find the complete poetry collection of Prem Rangpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Prem Rangpuri' above.

Asar Kiya Lab-e-KHamosh Ne Zaban Ki Tarah is a widely read Urdu Ghazal. If you like Asar Kiya Lab-e-KHamosh Ne Zaban Ki Tarah, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.