Ye Sahn-o-rawish Ye Shams-o-qamar Ye Dasht-o-bayaban Kuchh Bhi Nahin, Urdu Ghazal By Prem Shankar Goila Farhat

Ye Sahn-o-rawish Ye Shams-o-qamar Ye Dasht-o-bayaban Kuchh Bhi Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Prem Shankar Goila Farhat. Ye Sahn-o-rawish Ye Shams-o-qamar Ye Dasht-o-bayaban Kuchh Bhi Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Sahn-o-rawish Ye Shams-o-qamar Ye Dasht-o-bayaban Kuchh Bhi Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ صحن و روش یہ شمس و قمر یہ دشت و بیاباں کچھ بھی نہیں

پریم شنکر گوئلہ فرحت

یہ صحن و روش یہ شمس و قمر یہ دشت و بیاباں کچھ بھی نہیں

جز اپنی حد پرواز نظر اے دیدۂ حیراں کچھ بھی نہیں

ہے مجھ سے وجود ہست و عدم یوں ہست و عدم ہیں لا یعنی

یہ زیست کا ساماں کچھ بھی نہیں یہ عمر گریزاں کچھ بھی نہیں

اے دست جنوں ہے عار تجھے کیوں میری قبائے ہستی سے

میں چاک جگر کا قائل ہوں یہ چاک گریباں کچھ بھی نہیں

شامل ہے سرشت انساں میں طول شب غم کا عنصر بھی

یہ شام فراق و غم آگیں صبح شب ہجراں کچھ بھی نہیں

کینہ ہے تجھے کس دولت سے اس دامن ہستی میں کیا ہے

جز وعدۂ رب کون و مکاں اے گردش دوراں کچھ بھی نہیں

اک راہ پہ مجھ کو چھوڑ دیا منزل کا پتہ کچھ بھی نہ دیا

اس باب کی میں تمہید بنا جس باب کا عنواں کچھ بھی نہیں

قسام ازل نے تو بخشی آدم کو متاع عز و شرف

اے گردش دوراں یہ تو بتا کیا عظمت انساں کچھ بھی نہیں

فطرت ہے مری کچھ اس درجہ مانوس حقیقت اے گلچیں

تقریب بہاراں کچھ بھی نہیں تخریب گلستاں کچھ بھی نہیں

صہبائے گراں مایہ ہے عطا مداح مئے خود داری ہوں

اے جام و سبو کے شیدائی یہ خواہش ارزاں کچھ بھی نہیں

کیا شرح نگاہ دوست کروں دیکھا ہی نہیں کچھ اس کے سوا

ہوتا ہے عنایت درد بہت اور درد کا درماں کچھ بھی نہیں

وہ کشتئ دل ہی ڈوب چکی جو زیست کا حاصل تھی فرحتؔ

اب راحت ساحل کچھ بھی نہیں اب شورش طوفاں کچھ بھی نہیں

پریم شنکر گوئلہ فرحت

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Sahn-o-rawish Ye Shams-o-qamar Ye Dasht-o-bayaban Kuchh Bhi Nahin

Prem Shankar Goila Farhat

ye sahn-o-rawish ye shams-o-qamar ye dasht-o-bayaban kuchh bhi nahin
juz apni had-e-parwaz nazar ai dida-e-hairan kuchh bhi nahin

hai mujh se wujud-e-hast-o-adam yun hast-o-adam hain la yani
ye zist ka saman kuchh bhi nahin ye umr-e-gurezan kuchh bhi nahin

ai dast-e-junun hai aar tujhe kyun meri qaba-e-hasti se
main chaak-e-jigar ka qail hun ye chaak-e-gareban kuchh bhi nahin

shamil hai sarisht-e-insan mein tul-e-shab-e-gham ka unsur bhi
ye sham-e-firaq-e-gham-agin subh-e-shab-e-hijran kuchh bhi nahin

kina hai tujhe kis daulat se is daman-e-hasti mein kya hai
juz wada-e-rabb-e-kaun-o-makan ai gardish-e-dauran kuchh bhi nahin

ek rah pe mujh ko chhoD diya manzil ka pata kuchh bhi na diya
is bab ki main tamhid bana jis bab ka unwan kuchh bhi nahin

qassam-e-azal ne to baKHshi aadam ko mata-e-izz-o-sharf
ai gardish-e-dauran ye to bata kya azmat-e-insan kuchh bhi nahin

fitrat hai meri kuchh is darja manus-e-haqiqat ai gulchin
taqrib-e-bahaaran kuchh bhi nahin taKHrib-e-gulistan kuchh bhi nahin

sahba-e-giranmaya hai ata maddah-e-mai-KHuddari hun
ai jam-o-subu ke shaidai ye KHwahish-e-arzan kuchh bhi nahin

kya sharh-e-nigah-e-dost karun dekha hi nahin kuchh is ke siwa
hota hai inayat dard bahut aur dard ka darman kuchh bhi nahin

wo kashti-e-dil hi Dub chuki jo zist ka hasil thi 'farhat'
ab rahat-e-sahil kuchh bhi nahin ab shorish-e-tufan kuchh bhi nahin

(444) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Sahn-o-rawish Ye Shams-o-qamar Ye Dasht-o-bayaban Kuchh Bhi Nahin written by Prem Shankar Goila Farhat at UrduPoint. Ye Sahn-o-rawish Ye Shams-o-qamar Ye Dasht-o-bayaban Kuchh Bhi Nahin is one of the masterpieces written by Prem Shankar Goila Farhat. You can also find the complete poetry collection of Prem Shankar Goila Farhat by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Prem Shankar Goila Farhat' above.

Ye Sahn-o-rawish Ye Shams-o-qamar Ye Dasht-o-bayaban Kuchh Bhi Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Sahn-o-rawish Ye Shams-o-qamar Ye Dasht-o-bayaban Kuchh Bhi Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.