Ye Shab To Kya Sahar Ko Bhi Shayad Nahin Pata, Urdu Ghazal By Prem Warbartani

Ye Shab To Kya Sahar Ko Bhi Shayad Nahin Pata is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Prem Warbartani. Ye Shab To Kya Sahar Ko Bhi Shayad Nahin Pata comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Shab To Kya Sahar Ko Bhi Shayad Nahin Pata on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ شب تو کیا سحر کو بھی شاید نہیں پتا

پریم واربرٹنی

یہ شب تو کیا سحر کو بھی شاید نہیں پتا

میں آخری چراغ ہوں سورج کے شہر کا

بزم سکوت دل میں ہے ہلچل مچی ہوئی

سارنگیاں ہیں کس کے بدن کی غزل سرا

میری بیاض درد وہ پڑھ کر بہت ہنسے

تھا نام جن کا پہلے ورق پر لکھا ہوا

دیکھا عجیب خواب اماوس کی رات نے

ہم چل رہے تھے چاند پہ دونوں برہنہ پا

شعلوں کے ہاتھ تھے کہ ٹھٹھرتے چلے گئے

پھر برف کا لباس کسی نے پہن لیا

سونے کی طشتری میں سجا کر نہ پھول بھیج

یہ کھیل مجھ غریب سے دیکھا نہ جائے گا

خوشبو کے خواب میں نہ ڈھلی زندگی مگر

چندن کی لکڑیوں سے جلانا مری چتا

کاغذ کی ناؤ آگ کے دریا میں ڈال دی

کیا جانے اور چاہتی کیا ہے تری انا

اے دوست اس قدر بھی اکیلا کوئی نہ ہو

میں خود بھی اپنے ساتھ نہیں دوسرا تو کیا

اے پریمؔ یوں تو دھوم تھی سارے جہان میں

اپنے ہی گھر میں کوئی ہمیں پوچھتا نہ تھا

پریم واربرٹنی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Shab To Kya Sahar Ko Bhi Shayad Nahin Pata

Prem Warbartani

ye shab to kya sahar ko bhi shayad nahin pata
main aaKHiri charagh hun suraj ke shahr ka

bazm-e-sukut-e-dil mein hai halchal machi hui
sarangiyan hain kis ke badan ki ghazal-sara

meri bayaz-e-dard wo paDh kar bahut hanse
tha nam jin ka pahle waraq par likha hua

dekha ajib KHwab amawas ki raat ne
hum chal rahe the chand pe donon barhana-pa

shoalon ke hath the ki ThiThurte chale gae
phir barf ka libas kisi ne pahan liya

sone ki tashtari mein saja kar na phul bhej
ye khel mujh gharib se dekha na jaega

KHushbu ke KHwab mein na Dhali zindagi magar
chandan ki lakDiyon se jalana meri chita

kaghaz ki naw aag ke dariya mein Dal di
kya jaane aur chahti kya hai teri ana

ai dost is qadar bhi akela koi na ho
main KHud bhi apne sath nahin dusra to kya

ai 'prem' yun to dhum thi sare jahan mein
apne hi ghar mein koi hamein puchhta na tha

(519) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Shab To Kya Sahar Ko Bhi Shayad Nahin Pata written by Prem Warbartani at UrduPoint. Ye Shab To Kya Sahar Ko Bhi Shayad Nahin Pata is one of the masterpieces written by Prem Warbartani. You can also find the complete poetry collection of Prem Warbartani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Prem Warbartani' above.

Ye Shab To Kya Sahar Ko Bhi Shayad Nahin Pata is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Shab To Kya Sahar Ko Bhi Shayad Nahin Pata, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.