Ishq Mein Sunte To The Lutf-e-jawani Aur Hai, Urdu Ghazal By Priyamvada Singh

Ishq Mein Sunte To The Lutf-e-jawani Aur Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Priyamvada Singh. Ishq Mein Sunte To The Lutf-e-jawani Aur Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ishq Mein Sunte To The Lutf-e-jawani Aur Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عشق میں سنتے تو تھے لطف جوانی اور ہے

پریمودا سنگھ

عشق میں سنتے تو تھے لطف جوانی اور ہے

جو مگر گزری ہے ہم پر وہ کہانی اور ہے

اس نے ماتھے پر رکھے لب اور ہوئے روشن نصیب

سب متاع دہر میں اس کی نشانی اور ہے

لفظ کن سے ایک دنیا خلق کرنا تھا کمال

کن کے آگے جو ہوا اس کی کہانی اور ہے

ایک زخم دل سے پھوٹے مختلف رنگوں کے دکھ

ہے الگ خون جگر آنکھوں کا پانی اور ہے

لگتے ہوں گے پر کشش ارض و سما ملتے ہوئے

نیلے کرتے پر ترے یہ شال دھانی اور ہے

ایک سے دل ہیں جدا لیکن دھڑکنے کے سبب

رائیگاں تو سب ہیں لیکن رائیگانی اور ہے

لمحہ لمحہ کھینچ کر برسوں چلاتے ہو جو تم

یہ ہے قید با مشقت زندگانی اور ہے

تم پرندے دیکھنے والے تمہیں کیا ہے خبر

ہے الگ پرواز اور نقل مکانی اور ہے

ہو وصال یار اب ہو صورت اظہار اب

عشق ہوگا جاوداں یہ جسم فانی اور ہے

پریمودا سنگھ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ishq Mein Sunte To The Lutf-e-jawani Aur Hai

Priyamvada Singh

ishq mein sunte to the lutf-e-jawani aur hai
jo magar guzri hai hum par wo kahani aur hai

us ne mathe par rakhe lab aur hue raushan nasib
sab mata-e-dahr mein us ki nishani aur hai

lafz-e-kun se ek duniya KHalq karna tha kamal
kun ke aage jo hua us ki kahani aur hai

ek zaKHm-e-dil se phuTe muKHtalif rangon ke dukh
hai alag KHun-e-jigar aankhon ka pani aur hai

lagte honge pur-kashish arz-o-sama milte hue
nile kurte par tere ye shaal dhani aur hai

ek se dil hain juda lekin dhaDakne ke sabab
raegan to sab hain lekin raegani aur hai

lamha lamha khinch kar barson chalate ho jo tum
ye hai qaid-e-ba-mashaqqat zindagani aur hai

tum parinde dekhne wale tumhein kya hai KHabar
hai alag parwaz aur naql-e-makani aur hai

ho visal-e-yar ab ho surat-e-izhaar ab
ishq hoga jawedan ye jism-e-fani aur hai

(816) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ishq Mein Sunte To The Lutf-e-jawani Aur Hai written by Priyamvada Singh at UrduPoint. Ishq Mein Sunte To The Lutf-e-jawani Aur Hai is one of the masterpieces written by Priyamvada Singh. You can also find the complete poetry collection of Priyamvada Singh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Priyamvada Singh' above.

Ishq Mein Sunte To The Lutf-e-jawani Aur Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ishq Mein Sunte To The Lutf-e-jawani Aur Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.