Haq Wafaon Ka Jafaon Se Ada Karte Hain Log, Urdu Ghazal By Qadir Siddiqi

Haq Wafaon Ka Jafaon Se Ada Karte Hain Log is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qadir Siddiqi. Haq Wafaon Ka Jafaon Se Ada Karte Hain Log comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Haq Wafaon Ka Jafaon Se Ada Karte Hain Log on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

حق وفاؤں کا جفاؤں سے ادا کرتے ہیں لوگ

قادر صدیقی

حق وفاؤں کا جفاؤں سے ادا کرتے ہیں لوگ

آج کی دنیا کو کیا کہیے کہ کیا کرتے ہیں لوگ

آنکھ پر نم ہونٹ لرزاں دل غموں سے پاش پاش

اس طرح بھی زندگی کا سامنا کرتے ہیں لوگ

اے زمانے کی روش تیری وفا کوشی کی خیر

عہد و پیماں توڑ کر وعدہ وفا کرتے ہیں لوگ

اے وفور زندگی یہ بھی ترا اعجاز ہے

زہر پیتے ہیں مسلسل اور جیا کرتے ہیں لوگ

اتنا اتنا دل میں اٹھتا ہے بغاوت کا غبار

جتنا جتنا دل کو پابند وفا کرتے ہیں لوگ

اس کے پانے کی مسرت چند لمحے بھی نہیں

جس کو کھو کر عمر بھر آہ و بکا کرتے ہیں لوگ

میری روداد الم میں کوئی پہلو ہے ضرور

سن کے روداد الم کیوں ہنس دیا کرتے ہیں لوگ

جب بھی ہوتا ہے جفاؤں کا کہیں بھی تذکرہ

نام جانے کیوں تمہارا لے لیا کرتے ہیں لوگ

صبح نو کی یاد میں کٹتی ہے ہر شام فراق

سکھ کی امیدوں میں اکثر دکھ سہا کرتے ہیں لوگ

رنج و غم عیش و مسرت دھوپ بھی ہے چھاؤں بھی

ہنستے ہنستے زندگی میں رو دیا کرتے ہیں لوگ

کون کام آتا ہے آڑے وقت پر قادرؔ یہ دیکھ

زیست کے ہر موڑ پر یوں تو ملا کرتے ہیں لوگ

قادر صدیقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Haq Wafaon Ka Jafaon Se Ada Karte Hain Log

Qadir Siddiqi

haq wafaon ka jafaon se ada karte hain log
aaj ki duniya ko kya kahiye ki kya karte hain log

aankh pur-nam honT larzan dil ghamon se pash pash
is tarah bhi zindagi ka samna karte hain log

ai zamane ki rawish teri wafa-koshi ki KHair
ahd-o-paiman toD kar wada wafa karte hain log

ai wafur-e-zindagi ye bhi tera eajaz hai
zahr pite hain musalsal aur jiya karte hain log

utna utna dil mein uThta hai baghawat ka ghubar
jitna jitna dil ko paband-e-wafa karte hain log

us ke pane ki masarrat chand lamhe bhi nahin
jis ko kho kar umr bhar aah-o-buka karte hain log

meri rudad-e-alam mein koi pahlu hai zarur
sun ke rudad-e-alam kyon hans diya karte hain log

jab bhi hota hai jafaon ka kahin bhi tazkira
nam jaane kyon tumhaara le liya karte hain log

subh-e-nau ki yaad mein kaTti hai har sham-e-firaq
sukh ki ummidon mein aksar dukh saha karte hain log

ranj-o-gham aish-o-masarrat dhup bhi hai chhanw bhi
hanste hanste zindagi mein ro diya karte hain log

kaun kaam aata hai aaDe waqt par 'qadir' ye dekh
zist ke har moD par yun to mila karte hain log

(525) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Haq Wafaon Ka Jafaon Se Ada Karte Hain Log written by Qadir Siddiqi at UrduPoint. Haq Wafaon Ka Jafaon Se Ada Karte Hain Log is one of the masterpieces written by Qadir Siddiqi. You can also find the complete poetry collection of Qadir Siddiqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qadir Siddiqi' above.

Haq Wafaon Ka Jafaon Se Ada Karte Hain Log is a widely read Urdu Ghazal. If you like Haq Wafaon Ka Jafaon Se Ada Karte Hain Log, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.