Jab Dard Ki ShaMein Jalti Hain Ehsas Ke Nazuk Sine Mein, Urdu Ghazal By Qaisar Qalandar

Jab Dard Ki ShaMein Jalti Hain Ehsas Ke Nazuk Sine Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qaisar Qalandar. Jab Dard Ki ShaMein Jalti Hain Ehsas Ke Nazuk Sine Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jab Dard Ki ShaMein Jalti Hain Ehsas Ke Nazuk Sine Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جب درد کی شمعیں جلتی ہیں احساس کے نازک سینے میں

قیصر قلندر

جب درد کی شمعیں جلتی ہیں احساس کے نازک سینے میں

اک حسن سا شامل ہوتا ہے پھر تنہا تنہا جینے میں

کچھ لطف کی گرمی کی خاطر کچھ جان وفا کے صدقے میں

گیسوئے الم کے سائے میں راحت سی ملی ہے پینے میں

آغوش تمنا چھو آئیں جب زلف یار کی خوشبو میں

آنکھوں میں ساون لہرایا دیپک سا سلگا سینے میں

موسیقیٔ حسن کی موجیں تھی کچھ آنکھوں میں کچھ پیالوں میں

جو ساحل دل تک ہو آئیں یادوں کے ایک سفینے میں

پلکوں میں سلگتے تاروں سے میں رات کی افشاں چن نہ سکا

شعلوں کو چھپائے پھرتا ہوں میں دل کے ایک نگینے میں

وہ رنگ حیا احساس طرب آئینۂ رخ کے عکس فگن

اک تابش تیرے چہرے کی اک آنچ سی میرے سینے میں

کلیوں نے گھونگھٹ سرکائے شبنم نے موتی رول دئے

لذت سی ملی ہے اشکوں سے یہ چاک جگر کا سینے میں

نغموں کی چاندنی چھٹکی ہے شعروں کے شبستاں مہکے ہیں

پھر ساز غزل لے آیا ہوں اک لطف ہے اکثر جینے میں

قیصر قلندر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jab Dard Ki ShaMein Jalti Hain Ehsas Ke Nazuk Sine Mein

Qaisar Qalandar

jab dard ki shamen jalti hain ehsas ke nazuk sine mein
ek husn sa shamil hota hai phir tanha tanha jine mein

kuchh lutf ki garmi ki KHatir kuchh jaan-e-wafa ke sadqe mein
gesu-e-alam ke sae mein rahat si mili hai pine mein

aaghosh-e-tamanna chhu aaen jab zulf-e-yar ki KHushbu mein
aankhon mein sawan lahraya dipak sa sulga sine mein

mausiqi-e-husn ki maujen thi kuchh aankhon mein kuchh pyalon mein
jo sahil-e-dil tak ho aaen yaadon ke ek safine mein

palkon mein sulagte taron se main raat ki afshan chun na saka
shoalon ko chhupae phirta hun main dil ke ek nagine mein

wo rang-e-haya ehsas-e-tarab aaina-e-ruKH ke aks-fagan
ek tabish tere chehre ki ek aanch si mere sine mein

kaliyon ne ghunghaT sarkae shabnam ne moti rol diye
lazzat si mili hai ashkon se ye chaak jigar ka sine mein

naghmon ki chandni chhiTki hai sheron ke shabistan mahke hain
phir saz-e-ghazal le aaya hun ek lutf hai aksar jine mein

(310) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jab Dard Ki ShaMein Jalti Hain Ehsas Ke Nazuk Sine Mein written by Qaisar Qalandar at UrduPoint. Jab Dard Ki ShaMein Jalti Hain Ehsas Ke Nazuk Sine Mein is one of the masterpieces written by Qaisar Qalandar. You can also find the complete poetry collection of Qaisar Qalandar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qaisar Qalandar' above.

Jab Dard Ki ShaMein Jalti Hain Ehsas Ke Nazuk Sine Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jab Dard Ki ShaMein Jalti Hain Ehsas Ke Nazuk Sine Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.