Be-gana-adai Hai Sitam Jaur-o-sitam Mein, Urdu Ghazal By Qalaq Merathi

Be-gana-adai Hai Sitam Jaur-o-sitam Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qalaq Merathi. Be-gana-adai Hai Sitam Jaur-o-sitam Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Be-gana-adai Hai Sitam Jaur-o-sitam Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بیگانہ ادائی ہے ستم جور و ستم میں

قلق میرٹھی

بیگانہ ادائی ہے ستم جور و ستم میں

ہم چھپنے نہ پائے کہ چھپا آپ وہ ہم میں

کچھ علم و خرد پر نہیں تقدیر کی مقدار

اندازۂ پیماں نہ زیادہ میں نہ کم میں

ہے طرز محبت ہی دل آشوب وگرنہ

کچھ بات عداوت کی نہ تم میں ہے نہ ہم میں

ہر قافلۂ درد رسیدہ کی ہے منزل

کیا جانیے آرام ہے کیا ملک عدم میں

یا رب ہو برا اس ہوس دل کا نہیں چین

افلاس بھی کھویا طلب جاہ و حشم میں

بے حس ہوس وصل میں ایسے تو ہوئے ہیں

لذت ہے اذیت میں حلاوت ہے نہ سم میں

افسانۂ مے خانہ ہے واعظ کی زباں پر

اندازۂ پیمانہ ہے قندیل حرم میں

مجھ کو ہی نہیں بے خود و بے ہوش کیا کچھ

دیوانے بنے آپ بھی تشویش ستم میں

اس زہد لباسی کے قلقؔ تیرے ہیں قائل

کس ڈھنگ سے لایا پسر شیخ کو دم میں

قلق میرٹھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Be-gana-adai Hai Sitam Jaur-o-sitam Mein

Qalaq Merathi

be-gana-adai hai sitam jaur-o-sitam mein
hum chhupne na pae ki chhupa aap wo hum mein

kuchh ilm-o-KHirad par nahin taqdir ki miqdar
andaza-e-paiman na zyaada mein na kam mein

hai tarz-e-mohabbat hi dil-ashob wagarna
kuchh baat adawat ki na tum mein hai na hum mein

har qafila-e-dard-rasida ki hai manzil
kya jaaniye aaram hai kya mulk-e-adam mein

yarab ho bura is hawas-e-dil ka nahin chain
iflas bhi khoya talab-e-jah-o-hasham mein

be-his hawas-e-wasl mein aise to hue hain
lazzat hai aziyyat mein halawat hai na sam mein

afsana-e-mai-KHana hai waiz ki zaban par
andaza-e-paimana hai qindil-e-haram mein

mujh ko hi nahin be-KHud-o-behosh kya kuchh
diwane bane aap bhi tashwish-e-sitam mein

us zohd-libasi ke 'qalaq' tere hain qail
kis Dhang se laya pisar-e-shaiKH ko dam mein

(344) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Be-gana-adai Hai Sitam Jaur-o-sitam Mein written by Qalaq Merathi at UrduPoint. Be-gana-adai Hai Sitam Jaur-o-sitam Mein is one of the masterpieces written by Qalaq Merathi. You can also find the complete poetry collection of Qalaq Merathi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qalaq Merathi' above.

Be-gana-adai Hai Sitam Jaur-o-sitam Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Be-gana-adai Hai Sitam Jaur-o-sitam Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.