Har Adawat Ki Ibtida Hai Ishq, Urdu Ghazal By Qalaq Merathi

Har Adawat Ki Ibtida Hai Ishq is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qalaq Merathi. Har Adawat Ki Ibtida Hai Ishq comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Har Adawat Ki Ibtida Hai Ishq on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہر عداوت کی ابتدا ہے عشق

قلق میرٹھی

ہر عداوت کی ابتدا ہے عشق

کہ محبت کی انتہا ہے عشق

لو زلیخا کو کب ہوا ہے عشق

کس قدر طاقت آزما ہے عشق

فلک و مدعی و یار و اجل

سب بھلے ہیں مگر برا ہے عشق

دیکھیے اس کا ہوگا کیا انجام

اب خدا سے ہمیں ہوا ہے عشق

ہو چکا ہم سے کچھ جو ہونا تھا

تو نے یہ حال کیا کیا ہے عشق

وامق و قیس و کوہ کن کیا تھے

اجل و آفت و بلا ہے عشق

دیکھنا شوق و شرم کا شیوہ

حسن خود بیں ہے خود نما ہے عشق

کون جانے تھا اس کا نام و نمود

میری بربادی سے بنا ہے عشق

دل کرو خوں تو کیا ہے دل داری

جان جاتی رہے تو کیا ہے عشق

غم زدائی میں غم فزا کیا کچھ

دل ربا یا نہ جاں ربا ہے عشق

با وفا وہ ہیں بے وفا ہے حسن

بے وفا ہم ہیں با وفا ہے عشق

غمزہ سا غمزہ غم میں کرتا ہے

کچھ سے کچھ اب تو ہو گیا ہے عشق

کیسے کیسوں کی اس نے لی ہے جان

دیکھنا کیا ہی خوش ادا ہے عشق

کیوں کے ماتم نہ اب وفا کا رہے

میرے مرتے ہی مر مٹا ہے عشق

دیکھنا مرگ و زیست کے جھگڑے

جاں فزا حسن و جاں گزا ہے عشق

ویسا ہی ہے فرشتہ جیسی روح

اے قلقؔ تیرا آشنا ہے عشق

قلق میرٹھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Har Adawat Ki Ibtida Hai Ishq

Qalaq Merathi

har adawat ki ibtida hai ishq
ki mohabbat ki intiha hai ishq

lo zuleKHa ko kab hua hai ishq
kis qadar taqat-azma hai ishq

falak o muddai o yar o ajal
sab bhale hain magar bura hai ishq

dekhiye is ka hoga kya anjam
ab KHuda se hamein hua hai ishq

ho chuka hum se kuchh jo hona tha
tu ne ye haal kya kiya hai ishq

wamiq-o-qais-o-kohkan kya the
ajal-o-afat-o-bala hai ishq

dekhna shauq-o-sharm ka shewa
husn-e-KHud-bin hai KHud-numa hai ishq

kaun jaane tha us ka nam-o-numud
meri barbaadi se bana hai ishq

dil karo KHun to kya hai dildari
jaan jati rahe to kya hai ishq

gham-zadai mein gham-faza kya kuchh
dil-ruba ya na jaan-ruba hai ishq

ba-wafa wo hain bewafa hai husn
bewafa hum hain ba-wafa hai ishq

ghamza sa ghamza gham mein karta hai
kuchh se kuchh ab to ho gaya hai ishq

kaise kaison ki us ne li hai jaan
dekhna kya hi KHush-ada hai ishq

kyun ke matam na ab wafa ka rahe
mere marte hi mar miTa hai ishq

dekhna marg-o-zist ke jhagDe
jaan-faza husn-o-jaan-guza hai ishq

waisa hi hai farishta jaisi ruh
ai 'qalaq' tera aashna hai ishq

(431) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Har Adawat Ki Ibtida Hai Ishq written by Qalaq Merathi at UrduPoint. Har Adawat Ki Ibtida Hai Ishq is one of the masterpieces written by Qalaq Merathi. You can also find the complete poetry collection of Qalaq Merathi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qalaq Merathi' above.

Har Adawat Ki Ibtida Hai Ishq is a widely read Urdu Ghazal. If you like Har Adawat Ki Ibtida Hai Ishq, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.