Hum To Yan Marte Hain Wan Usko KHabar Kuchh Bhi Nahin, Urdu Ghazal By Qalaq Merathi

Hum To Yan Marte Hain Wan Usko KHabar Kuchh Bhi Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qalaq Merathi. Hum To Yan Marte Hain Wan Usko KHabar Kuchh Bhi Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hum To Yan Marte Hain Wan Usko KHabar Kuchh Bhi Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہم تو یاں مرتے ہیں واں اس کو خبر کچھ بھی نہیں

قلق میرٹھی

ہم تو یاں مرتے ہیں واں اس کو خبر کچھ بھی نہیں

اے وہ سب کچھ ہی سہی عشق مگر کچھ بھی نہیں

تم کو فریاد ستم کش کا خطر کچھ بھی نہیں

کچھ تو الفت کا اثر ہے کہ اثر کچھ بھی نہیں

عافیت ایک اور آزار ہزاروں اس میں

جس کو کچھ سود نہیں اس کو ضرر کچھ بھی نہیں

خلوت راز میں کیا کام ہے ہنگامے کا

ہے خبردار وہی جس کو خبر کچھ بھی نہیں

تو اور اک شان کہ عالم کی نظر میں کیا کچھ

میں اور اک جان کہ پھرتے ہی نظر کچھ بھی نہیں

رحم ہے اس کا ہی آشوب قیامت کی دلیل

جس سے بیزار ہے وہ اس کو خطر کچھ بھی نہیں

ہم کو اس حوصلے پہ کیوں کہ فلک دے ساماں

شکوۂ بار ہے اور منت سر کچھ بھی نہیں

راہیٔ ملک عدم ہیں نہیں فکر منزل

قصد رکھتے ہیں ادھر کا کہ جدھر کچھ بھی نہیں

زیست افسون تماشا ہے توہم کے لئے

ہوتی ہے جلوہ نما مثل شرر کچھ بھی نہیں

خود پرستی کے سبب شیخ و برہمن کو ہے خبط

سب ادھر ہی کی بناوٹ ہے ادھر کچھ بھی نہیں

عاقبت بیں کو ہے ہر بزم کی شادی ماتم

شمع روتی ہے کہ ہوتے ہی سحر کچھ بھی نہیں

روز فرقت کی درازی سے نہ دیکھے شب ہجر

حسرت شام میں تشویش سحر کچھ بھی نہیں

جانتے ہیں کہ نہ بھٹکے گا جہاں کیا کیا کچھ

دیکھتے ہیں کہ انہیں مد نظر کچھ بھی نہیں

اے قلقؔ پیتے ہی مسجد میں چلے آتے ہو

بے خبر کتنے ہو تم بھی کہ خبر کچھ بھی نہیں

قلق میرٹھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hum To Yan Marte Hain Wan Usko KHabar Kuchh Bhi Nahin

Qalaq Merathi

hum to yan marte hain wan us ko KHabar kuchh bhi nahin
ai wo sab kuchh hi sahi ishq magar kuchh bhi nahin

tum ko fariyaad-e-sitam-kash ka KHatar kuchh bhi nahin
kuchh to ulfat ka asar hai ki asar kuchh bhi nahin

aafiyat ek aur aazar hazaron us mein
jis ko kuchh sud nahin us ko zarar kuchh bhi nahin

KHalwat-e-raaz mein kya kaam hai hangame ka
hai KHabar-dar wahi jis ko KHabar kuchh bhi nahin

tu aur ek shan ki aalam ki nazar mein kya kuchh
main aur ek jaan ki phirte hi nazar kuchh bhi nahin

rahm hai us ka hi aashob-e-qayamat ki dalil
jis se bezar hai wo us ko KHatar kuchh bhi nahin

hum ko is hausle pe kyun ki falak de saman
shikwa-e-bar hai aur minnat-e-sar kuchh bhi nahin

rahi-e-mulk-e-adam hain nahin fikr-e-manzil
qasd rakhte hain udhar ka ki jidhar kuchh bhi nahin

zist afsun-e-tamasha hai tawahhum ke liye
hoti hai jalwa-numa misl-e-sharar kuchh bhi nahin

KHud-parasti ke sabab shaiKH-o-barahman ko hai KHabt
sab idhar hi ki banawaT hai udhar kuchh bhi nahin

aaqibat-bin ko hai har bazm ki shadi matam
shama roti hai ki hote hi sahar kuchh bhi nahin

roz-e-furqat ki daraazi se na dekhe shab-e-hijr
hasrat-e-sham mein tashwish-e-sahar kuchh bhi nahin

jaante hain ki na bhaTkega jahan kya kya kuchh
dekhte hain ki unhen madd-e-nazar kuchh bhi nahin

ai 'qalaq' pite hi masjid mein chale aate ho
be-KHabar kitne ho tum bhi ki KHabar kuchh bhi nahin

(428) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hum To Yan Marte Hain Wan Usko KHabar Kuchh Bhi Nahin written by Qalaq Merathi at UrduPoint. Hum To Yan Marte Hain Wan Usko KHabar Kuchh Bhi Nahin is one of the masterpieces written by Qalaq Merathi. You can also find the complete poetry collection of Qalaq Merathi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qalaq Merathi' above.

Hum To Yan Marte Hain Wan Usko KHabar Kuchh Bhi Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hum To Yan Marte Hain Wan Usko KHabar Kuchh Bhi Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.