Naqsh-bar-ab Nam Hai Sail-e-fana Maqam, Urdu Ghazal By Qalaq Merathi

Naqsh-bar-ab Nam Hai Sail-e-fana Maqam is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qalaq Merathi. Naqsh-bar-ab Nam Hai Sail-e-fana Maqam comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Naqsh-bar-ab Nam Hai Sail-e-fana Maqam on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نقش بر آب نام ہے سیل فنا مقام

قلق میرٹھی

نقش بر آب نام ہے سیل فنا مقام

اس خانماں خراب کا کیا نام کیا مقام

ہر روز تازہ منزل و ہر شب نیا مقام

مہلت نہیں قیام کی دنیا ہے کیا مقام

جا مل گئی جسے تری دیوار کے تلے

ہے اس کو گور تنگ بھی اک دل کشا مقام

ڈرتے ہیں ہم تو نام بھی لیتے ہوئے ترا

تو ہی بتا کہ پوچھیے کیوں کر ترا مقام

انسان کی سرشت میں ہے عذر لنگ ضعف

ثابت ہوا کہ دور ہے مجھ سے مرا مقام

اندازہ ہی غلط تھا مگر امتیاز کا

یعنی محل غیر ہی تھا آپ کا مقام

کھلتا نہیں کبھی نہ کبھی صاف ہی رہے

کس طرح ہو ثبوت کہ دل ہے ترا مقام

واعظ منازعت کا سبب مجھ میں تجھ میں کیا

مسجد ترا محل ہے مرا مے کدہ مقام

یاں واں ادھر ادھر یوں ہی گر پڑ کے کی بسر

مثل غبار راہ رہا جا بہ جا مقام

اے اہل دیر ذکر حرم تم سے یا کریں

پوچھو بتوں ہی سے کبھی کعبہ بھی تھا مقام

کیا کیا بیاں جہاں کے کریں امن و چین کو

اس کے بھی در پہ اپنا تو مدت رہا مقام

کیا جانیے قلقؔ کہ ارادہ ہے اپنا کیا

مطلب سے کچھ سفر نہ سر مدعا مقام

قلق میرٹھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Naqsh-bar-ab Nam Hai Sail-e-fana Maqam

Qalaq Merathi

naqsh-bar-ab nam hai sail-e-fana maqam
is KHanuman-KHarab ka kya nam kya maqam

har roz taza manzil o har shab naya maqam
mohlat nahin qayam ki duniya hai kya maqam

ja mil gai jise teri diwar ke tale
hai us ko gor-e-tang bhi ek dil-kusha maqam

Darte hain hum to nam bhi lete hue tera
tu hi bata ki puchhiye kyunkar tera maqam

insan ki sarisht mein hai uzr-e-lang-e-zoaf
sabit hua ki dur hai mujh se mera maqam

andaza hi ghalat tha magar imtiyaz ka
yani mahall-e-ghair hi tha aap ka maqam

khilta nahin kabhi na kabhi saf hi rahe
kis tarah ho subut ki dil hai tera maqam

waiz munazat ka sabab mujh mein tujh mein kya
masjid tera mahal hai mera mai-kada maqam

yan wan idhar udhar yun hi gir-paD ke ki basar
misl-e-ghubar-e-rah raha ja-ba-ja maqam

ai ahl-e-dair zikr-e-haram tum se ya karen
puchho buton hi se kabhi kaba bhi tha maqam

kya kya bayan jahan ke karen amn-o-chain ko
us ke bhi dar pe apna to muddat raha maqam

kya jaaniye 'qalaq' ki irada hai apna kya
matlab se kuchh safar na sar-e-muddaa maqam

(431) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Naqsh-bar-ab Nam Hai Sail-e-fana Maqam written by Qalaq Merathi at UrduPoint. Naqsh-bar-ab Nam Hai Sail-e-fana Maqam is one of the masterpieces written by Qalaq Merathi. You can also find the complete poetry collection of Qalaq Merathi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qalaq Merathi' above.

Naqsh-bar-ab Nam Hai Sail-e-fana Maqam is a widely read Urdu Ghazal. If you like Naqsh-bar-ab Nam Hai Sail-e-fana Maqam, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.